w SMS Messages18904 messages

Abhi Is Taraf Na Nigah Kar Main Gazal Ki Palkain Sawaar Lon.

Mera Lafz Lafz Ho Ayina Tujhy Ayine Main Utaar Lon.
Main Usay Dill Say Piyar Karti Hoon Rang Jis Ka Hina Say Milta Hai.
Rangat Main Dilfarareb Hum Bhi Nahin LAKIN Saanwali Si Is Jori Say Zamana Jalta Hai.
DIl Ki Dharkano Ko Ek Lamha Saber Nahi
Shayad K Usko Ab bhi Meri qadar Nahi
Jab Safar Na Tha Hamsafer Tha wo
Ab Safer Hai to wo hamsafer Nahi
Hum TO Tere Dil KI Mehfil Sajane Aaye The
Teri Qasam Tujhe APna banane aaye the
Kis Bata ki saza di tu ne hum ko
bewafa ham TO tere dard ko aapnane aaye the
Usey Ik Saltanat Ki Rajhdani Chiye Thi
Mohabbat MeiN B Usko Hukmurani Chiye thi
Bicherne Ka wo Pehle Se taheya Ker Chuka Tha
Usey Meri Tarf Se bad-Gumani Chiye Thi
Mein Kyun Na Terk-E-Taluq Ki Ibtida Kerta
MeiN Agar Ye Na Kerta To Aur Kia Kerta
wO MEre Zabt Ka Andaza Kerne Aaya Tha
Mein Hans K Zakaham Na Khata To AUr KIa Kerta
Bara Andhera Tha Un Ki Rahoon MEin Ay Dil
Mein Apna Ghar Na Jalata To Aur Kia Kerta
Uske Nazdeek Gham-E-Tarq-wafa Kuch B Nahi
Mutmaeen Aise Hain wo Jese Hua Kuch B Nhai
Ab To haton Ki lakeerain B Miti Jati Hain
Usko Kaho Mere Pass Bacha Kuch B nahi
Mein To Iss waste Chup Hoon K Tamasha Na Bane
wO Samjhta Hai Mujeh Uss Se Gila Kuch B Nhai Hai
Bol Na Bol Ay Jane wale Sun To Le Diwano Ki
AB Nahi Dekhi Jati Hamse Ye Halat Armano Ki
Husn K Khilte Phool hamesha Bedardon K Hath Lage
Aur Chahat K matwalon Ko Dhool Mili weerano Ki
Dil K Nazdeek Nazuk Jazbon Per Raaj Hai Sone Chandi Ka
Ye Duniya Kia Qemat Degi Sada Dil Insano Ki
Har Ek Sawal Ka Usko Jawab Kya Deti?
Main Apni Zaat Ka Usko Hisab Kya Deti?
Jo Ek Lafz Ki Khushbu Na Rakh Saka Mehfooz!
Mai Us Ke Hath Mein Puri Kitab Kya Deti?
Kaun is raah se guzarta hai
Dil yun hii intazaar kerta hai

Dekh ker bhi na dekhny walay
Dil tujhe dekh dekh Derta hai

Shehar-e-gul mein kati hai sari raat
Dekhiay din kahan guzerta hai

Dheyan ki seeriyon pe pichly pehar
Koi chupky sy paun dherta hai

Dil to mera udaas hai ''Sameer''
Shehar kyun sayein sayein kerta hai..
woh Ek Hi Nazar Ki Junbash Sey Sub Dil Ki Bastti Loot Gia
woh Jis Sey Ankhiay Char Hoin Aur Hath Sey Saghar Choot Gia

Dil Us Ka Bhi Hey Aur Mera Bhi Farq Sirf Itna Hai Sahar
woh Pathar Tha Jo Dabit Raha Aur Yeh Shesha Tha Jo Toot Gia
Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga
waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaye ga

Itna manoos na ho hilwat-e-ghum sey apni
Tu kabhi khud ko bhi dheikhey ga tu dar jaye ga

Tum sar-e-rah-e-wafa dheikhtye reh jao gey
Or wo baagh-e-rafaqat sey uttar jaye ga

Zindgi teri atta hai tu ye jaaney wala
Teri bukhshish ko teri dehleez per rakh jaye ga

Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga