woh
Bade faqr se kahti hai
Yeh khoobsurat nasheman
yeh cars ki fleet
Yeh malbusaat ki chamak damak (Kapde)
Meri apni ka
wish hai
Zindagi ki
Saree ra’naiyaan
Yeh aasaish
Kisi ki marhoone minnat nahin
Zindagi main koi ehsaan ka
Lamha nahin
Main khud main bilkul mukammal hun
Oonchi kursi per baith ker
Na jane kitni zindagiyoon ko
Sa
warti aur bigaadti hun
Lekin
Is ke Ba
wajood
Aik Mazboot
Aur Mustahkam
Saahare ki justujoo main
Uski aankhain neend ko
Tarasti hain!