soch SMS Messages762 messages

Kisi se bat karna bolna acha nahin lagta,

Tujhey dekha jabse dosra acha nahin lagta,

Terey barey main sochta rehta hun,

Par tere bare main kisi se bolna acha nahin lagta..
Siwa Tere UsNe Kisi Our ko sochA Kab Hai


Who Tera Chahne wala Tujhe bhoola Kab Hai


Tum Os K Na milne Ki Kiya Gela Karte ho


Ye Batao k Tum Ne Use Dhoonda Kab Hai........!
Apni Beeti Hui Rangeen Jawani Dega,
Mujh Ko Tasveer Bi Dega To Purani Dega.

Aadatein Milti Hein Sooraj Se Bohat Kuch Uski,
Waqt-e-Rukhsat Bi Wo Ik Sham Suhani Dega.

Mere Maathe Ki Lakeeron Mein Izafa Ker K,
Wo Bi Maazi Ki Tarha Apni Nishani Dega.

Barf Hojayega Jab Mere Lahu Ka Dariya,
Tab Kahin Ja K Wo Mojon Ko Rawani Dega.

Maine Ye soch K Boye Nahi Khuwabon K Darakht,
Kon Jangal Mein Lage Pair Ko Pani Dega..? O_o
soch soch kay may thuk jao
piyar kahay tujh say ho jay

lakh chhupaaoo chahay may sub say
aizhar kahay tujh say ho jay

bach kay nikal jaoo chahay sub say
per samna tujh say ho jay
IK Pashemaa''n See Hasraat Se Mujhy sochti Hy,,

Ab Wohi Larki Mohabbat Se Mujhy sochti Hy..


Main Tu Mehdood Lamhoon Me Milla Tha Us Se,,

Phir Bhi Wo Kitni Wazahat Se Mujhy sochti Hy..


Jis Ne socha He Na Tha Hijr Ka Momkin Hona,,

Dukh Me Dobee Hoi Herat Se Mujhy sochti Hy..


Main Tu Mar Jaoon Agar sochne Lag Jaoon Usy,,

Aur Wo Kitni Sahollat Se Mujhy sochti Hy..


Grche Ab Trk-e-Mrasim Ko Bohat Deir Hoi,,

Ab Bhi Wo Mere Ijazat Se Mujhy sochti Hy..
Q raat ki rait py bikhray huye,
Taron k kankar chunti ho,
Q sannatay ki silwat main,
Lipti awazain sunti ho,
Q apni pyasi ankho ki,
jhalar main khab proti ho?
Q roti ho?
Ab kon tumari ankho main,
Sadyo ki need undailay ga,
Ab kon tumari chahat ki,
Haryali main ghul khailay ga,
Ab kon tumari tanhai ka,
An dekha dukh jhailay ga?
Ab aisa hy.....
Ye rat musallat hy jb tk,
Ye shammain jalti hain jb tk,
Ye zakhm jaha tk chubtay hain,
Ye sansain jb tk chalti hain,
Tum apni soch k jangal main, rah bhatko aur kho jao...
Ab so jao... O_o
Jo Chala Gya Mujhe Chor K Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka
Wohi Dorian Wohi Fasle Main
Kabhi Na In Ko Mita Saka.
Kya Use B Mujh Se Pyar Tha
Ya Tabussum Us Ka Shuar Tha
Wo Koi Ajib Sawal Tha Jo Meri Samajh Mein Na Aa Saka
Meri Zindagi Ka Sakoon Tha Wo Mere Dil Ka Ik Janon Tha
Meri Bandagi Mera Pyar Tha
Yehi Bat Na Main Bta Saka
Yehi sochta Tha Main Raat Bhar wo Kabhi Mile Ga jo Raah Par
To Karon Ga Us Se Shikaitain
Wo Mila To Lab Na Hila Saka... ;->
ek roz koi tou sochay ga,
ek shakhs tha pagal pagal sa.
pr baatain theek hi kehta tha,
baraish ki tarha pur-shor na tha.
dariya ki tarha chup rehta tha.
aur jin se pyar wo kerta tha,
judai bhi unhi ki sehta tha.
ek roz koi tou sochay ga,
kyun jetay-ji dargore kuwa.
kis ranj ne usko maar dia,
ek roz koi tou sochay ga,
or pehron baith ke roye ga.
Udas Larki
Jo ban Pare to
Yo khud se kena kabhi to jaana!
Ke tum ko yaad aati ha yaad ab bhi
Wo ek sundar, Udas larki
Wo khoi khoi si aankhon wali
Wo Uljhi Uljhi sochon wali
Wo Jhooti Muskan ko Labon pe sajane wali
Wo apnay bare mein Dheeray sw….
Tum ko sub batane wali
Wo baat, be baat, Rooth kar maan jane wali
Kabhi kabhi ti Hisab o Had sy bhi Barh kar Yaad Aane wali
Satane wali, Manane wali
Wo ek sundar, Udaas Larki
Be naam Musafir hon,
Be naam safar mera,
Kis Raah nikal jaon,
Kuch keh nahi sakta,

Be naam meri manzil,
Be naam Thikana hay,
Kis dar pe mein ruk jaon,
Ke kisi ki chahten tum ho,

Kabhi Ek pal ko socho to,
Tumhari Be-wafai ne,
Tumhari Laparwahi ne,
Tumhari be-neyazi ne,

Kisi ko Maar Dala ha,
Kuch waqat do homko,
Bana lein Dost is Ghum ko,
Hamein maloom hay aakhir,

Judai maar Dale gi.
Ya jo shafaf sa ik aks us jheel me tha

Koi chehra tha magar chand ki tamseel me tha

Yaad karta hon kahan bhool k aya hon usay

Aisa he aks meri soch ki zambeel me tha

Baat kya thi ye mujhe achi tarha yaad nahi

Haan tera zikr b tha aur bari tafseel me tha

Koi pegham tha ankhon me, so ankhon me raha

Masla asal to pegham ki tarseel me tha

Is naye nusKhy me tehreef hui hai warna Darwaish

Zikr mera b kahin pyar ki InJeel mein tha.../
Us nay mujh say kaha
meray saathi!
tum ko mujh say jo hay gila ....kiya hay?
kabhi fursat milay tu socho,
manzilain kion hain? fasla iya hay?
apnay apnay safar pay niklay log
mushtarka raston pay chaltay hain
hamrahi kay hisar main jitnay
din nikaltay, chiraagh jaltay hain
apni apni umeed kay dar-o-baam
zindagi kay safar main miltay hain
mutaqil dard, aarzi aram

tum meray hamsafar tu ho lekin
hum kahin say bichar bhi saktay hain
dair tak aik taweel rastay par
saath tu ajnabi bhi chaltay hain!!!!!!!