Jo Chala Gya Mujhe Chor K Main Kabhi Na Us

Jo Chala Gya Mujhe Chor K Main Kabhi Na Us
Jo Chala Gya Mujhe Chor K Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka
Wohi Dorian Wohi Fasle Main
Kabhi Na In Ko Mita Saka.
Kya Use B Mujh Se Pyar Tha
Ya Tabussum Us Ka Shuar Tha
Wo Koi Ajib Sawal Tha Jo Meri Samajh Mein Na Aa Saka
Meri Zindagi Ka Sakoon Tha Wo Mere Dil Ka Ik Janon Tha
Meri Bandagi Mera Pyar Tha
Yehi Bat Na Main Bta Saka
Yehi Sochta Tha Main Raat Bhar wo Kabhi Mile Ga jo Raah Par
To Karon Ga Us Se Shikaitain
Wo Mila To Lab Na Hila Saka... ;->
  

Jun, 01 2010     465 chars (3 sms)     4538 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya
Tu nay dekhi hai wo peshani,wo rukhsar, wo hont . . .

Yeh Zindagi Jis K Tas-u-war Wai Luta Di Hum Nay . . .
Sukun-e-Qurb Me Utro
Tou Yaad Kr Lena

Kbhi Jo Tuut k Bikhro
Tou Yaad Kr Lena

Khushi k Waqt Me Chahe
Hume''n Bhula Dena

Ghamon ki Rah Jo Dkho
Tou Yaad Kr Lena
mohsin tum ny dekha hai kbi sehraa mei jhulasta hua darakht,

isi tarah jeety hain wafaoon ko nibhany waly.
Hazaaron Mashghaly Hain Jo Mujhy Masroof Rakhty Hain....

Mgr Mohsin Woh Aesa Hai K Phr Bhi Yaad Aata Hy....
oski muhabbat mere lia
bhini bhini
muatter muatter
raat ki rani
oska lams mere lia
jadoo jagata
khul ja sim sim ki kahani
oski intaha mere lia
had se be-had
la-mehdood bhi be-ma''ni
oski deewani ospay merti
oski chahat uski tammanah uski arzu
mangay hae panj waqta duain OSKAY HUZOOR
BEPERWAH,GHANI-Ul-QADEER
sone ga zaroor
Meri Zubaan Se Meri Daastan Suno To Sahi
yaqin karo na karo meherban suno to sahi

chalo ye maan liya mujrim-e-mohabbat hain
hamare jurm kaa hamse bayan suno to sahi
dilon ki emaraton mein kahein bandagi nahi...!

Eeinton ki masjidon mein "KHUDA" dhoondtay hain log..!
kab unki palkon se izhaar hoga,
dil ke kisi kone mein hamare liye pyaar hoga,
guzar gai raat unki yaad mein,
yeah sochkar ki suhab toh unko bhi hamara intzaar hoga.
Bhoolna tumhe na assan hoga..

jo bhule tumhe vo nadan hoga..

Aap to baste ho rooh mein hamari..

Aap hume na bhule ye aapka ehsan hoga..
ajeb kashmakash k raastay hain
Bari kathin yeh musafatain hain
Main jiski raahon main bujh gaya hoon
Usi ko mujh say shikayatain hain
Shikayatain sab bja hain laikin...
Main kaisay usko yaqeen dilaon?
Usay bhulaon tu mar na jaon
Main aisay khamosh imtihaan main
Kahan kahan say guzar gaya hoon
usay khabar bhi nahi hay shayad
Main dheeray dheeray bikhar gaya hoon....
Suno Hum Tum Say Kuch Kehna Chahatay Hain
Is Tees Ko Is Dard Ko Hum Sehna Chahatay Hain
Jis Ko Kabhi Sheesha Kabhi Aaina Kehtay Ho Tum
Seenay K Us Muqaam Main Hum Rehna Chahatay Hain
Moujon Ka Daar Nahin Hai, Sahil Say Nahin Hai Pyaar
Bas Thaam Lo Humain Tum, Hum Behna Chahatay Hain
Kia Yaad Karo Gi Hum Ko Jab Paas Hum Na Hoon Gain
Terey Khuwab Main Khayal Main Hum Rehna Chahatay Hain
Khayal Main Terey Aks Say Yeh Sab Tu Keh Chukay Hain
Terey Saamnay Gar Ho Ijaazat Kehna Chahatay Hain