sheher SMS Messages35 messages

Udas main tha
sara sheher rone laga,
AAj mera sanum
ksi or ka hone
laga,
mera chain
khony laga mjy DARD sa hone
laga,
JO MERA
humdard tha
yaroo woh ksi or ka hone laga,
WAFA KA PAIKAR
tha sanum mera,
jany kiun bewafa hony laga
Kese ajeeb log hn tere sheher ke faraz
Shok.e.mulakat to rkhte hn mgr bt ni krte
Main Apni Dosti Ko sheher Mein Ruswa Nhi Krti,
Mohbt Main Bhi Krti Hoon Magar Charcha Nhi Krti,
Jo MuJ Se MiLne Aa Jaye Main Us Ki DiL Se Khadim Hoon,
Jo Utth K Jana Chahay Main Usey Roka Nhi Krti,
Jisey Main Chhor Deti Hoon Usey Phir BhooL Jati Hoon,
Phir Us Hasti Ki
Janib Main Kabhi Dekha Nhi Krti,
Tera Israar Sir Aankhon Pe K Tum Ko BhooL Jaon Main,
Main Koshish Kr K Dekhoon Gi Magar Waada Nhi Krti
Dil ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehtey Hain,
Humne Suna Tha Iss Basti Mein Dilwaley Bhi Rehtey Hain,

Beet Gaya Sawan Ka Mahina Mausam Ne Nazrein Badli hain,
Lekin Inn Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak Aansu Behtey Hain,

Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,
Duniya Waley Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehtey Hain,

Jis Ki Khatir sheher Bhi Chhoda Jiske Liyey Badnaam Huey,
Aaj Wohi Humse Begane Begane Se Rehtey Hain,

Wo Jo Abhi Rehguzar Se Chaak-E-Garebaan Guzra Tha,
Uss Awaara Deewane Ko Jalib Jalib Kehte Hai...
Tu Jahan Rahe Meri DUA Ki Chaon Ho

Chahe Wo Koi sheher Ya KOi Gaon Ho

Teri Aankh Me Nami Na Ho

Kisi Shay Ki Tujh Ko Kami Na Ho

Tujhe Lage Wo Nazar Na Ho

Kisi Dukh Ko Teri Khabar na Ho

Teri Rah Me Qaus-e-Qazah Rahe

Razi Tujh Se Rab Ki Raza Rahe

Khushi Tere Paaon Ki Dhuul Ho

Dua Ye Meri Qubool Ho

Aameen
AIK sheher MAI AIK LARKA THA JO SCHOOL MAI 9TH MAI PHARTA THA, WO KISI LARKI SE BOHAT PYR KARTA THA 8TH SE, AIK DIL CLASS MAI OSNE KOI CHEEZ PHENK K DEE TO OS NE BAREY PYA SE KAHA "SORRY" os sorry ne osko devana bana dia, wo os jumle ko roz hr waqt hr ghari yaad krta tha, wo osko dil o jan se pyr krta tha, ajab ke baat ye hai wo os k baad shaeri bhe krne laga or wo os par saheri krta tha, wo os ko dil he dil mai pyr krta hai aur zndagi k akhri snas k akhri sec tak krta rahega,

magar wo osko keh nahin sakta q k wo bareeeeeeeeeeeeee beyrehem hai,

"aap dua krna k wo osko mil jae plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz"
wo larka mai hou yaneee mera naam hai love
Q : Baadshah Akbar ke zamnay main Darayaye (river) ravi main zabardast Salab aya tha .. Lahore sheher ko zabardasht Nuksaan Pooncha Lekin baad shah Masjid jo Drayeaye Ravi ke pass hai woh nahi doobi bataye kyoon???


Ans : Badshah Akbar Ke Zamanay Mai Baadshahi Masjid Bani Hi Nahi Thi :)
o kon Sa PHAL hai,
Jiska phela lafz kat dein to ek MULK ka naam aur aakhiri Kat dein to sheher aur dono ko kat dein to PARINDAY ka naam ban jata hai.
Tujhsay milnay ki saza denge tere sheher k log
ye wafaon ka sila denge tere sheher k log

Kya khabar thi tere milnay pe qayamat hogi
Mujhko diwaana bana denge tere sheher k log

Teri nazron se giranay k liye jaan-e-haya
Mujhko mujrim bhi bana denge tere sheher k log

Keh k diwaana mujhey maar rahay hain patthar
Aur kya is k siwa denege tere sehehr k log
Zikr-e-shab-e-firaq se wehshat usay bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye chehroon k deed ka
Rasta badal k chalne ki adat usay bhi thi

Us raat dair tak wo rahaa mahv-e-guftagu
Masruf main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

Sunata tha wo bhi sab se puraani kahaniya
Taza rafaqaton ki zarorat usay bhi thi

Mujh se bichhar ke sheher main ghul mil gaya wo shakhs
Halan k sheher bhar se raqabat usay bhi thi

Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha, jee gaya
Warna har ek saans qayamat usay bhi thi

Asrar na jaan khud ko nakam k bad-zauq
Wo mana nahi par tujh se muhabat usay bhi t
Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

Tariqeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...
Tum is sheher se jaane lago to

meri aankhain lete jaana

safar mai koi saath rahe to

rasta jaldi kat jaata hai