sheesha SMS Messages20 messages

Fisq hua duniya se door,
zehen ka ho gya Fitoor,
Khair ka hai har simt zuhoor,
sheesha e baatil chekna choor,
Neki neki subh o shaam,
Allah Allah mah e siyam,

Ho gaya parcham e khair buland,
Shaitan hai ab qaid men band,
Momin ke hai kaam pasand,
Nekiyan pahle se do chand,
Neki neki subh o shaam,
Allah Allah mah e siyam,
kuch khud b thay afsurda say,,
kuch tum b hum say rooth gaye,,
kuch khud hi zzakhm k aadi thay,,
kuch sheeshay hath say choot gaye,,
kuch khud b hassaas thay bohat,,
kuch apnay muqadar rooth gaye,,
kuch tum ko sach say nafrat thi,,,
kuch hum say na bolay jhoot gaye,,
kuch logon nay uskaya tumain,,
kuch apnay muqadar phoot gaye,,
kuch khud itnay mohtaat na thay,,
kuch log b hum ko loot gaye,,
kuch talkh hakaik thay itnay,
k khaab hi saray toot gaye.........
3 tips to break a miror:
1. pathar mar ker tod do.
2. utha ke neechay phainko.
3. sheesha ke saamne khare ho ker muskurao.
Mujhay yaqeen hai ke 3 wala tumhare liye ziada mufeed hai.
Be Khaber Apne Dil Se Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,
Ye Or Baat Hai Manta Dil Ki Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,
Ab Dekhiye Kya Hota Hai Anjaam Dono Ka Dono Hain sheesha Mizaaj,
Toot Ker Jurne Wala Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi. LOVE U JANU !!!
Bhoolne ki Adat Hai

Chalo Ishq nahi, Chaahne ki Adat hai
Kya karein ke Hamein Dusre ki Adat hai
Tu apne sheesha-Gari ka na kar Hunar Zyada
Main Aaina hoon, Mujhe Tootne ki Adat hai
Wisal mein bhi wohi Faasle Sharab ke hain
Ke Usko Neend, Mujh ko Rat-Jagne ki Adat hai
Tera Naseeb hai Ae Dil Sada ki Mehroomi
Na Wo Saki hai, na Tujhe Maangne ki Adat hai
Ye Khud Aa Jati kab tak
Tu bhi usse na kar Yaad, Jise Bhoolne ki Adat hai.
Q:
Jab Insaan ko Piyar hota hai to woo sheesha (Mirror) kyn ziyaada dekhta hai?

Reply is Must..!!
Send this msg 2 all your friends and get amazing Replies..!!
But Reply me First of All..
"ThoUgHt oF tHe dAy"


"Koi sheesha Insan Ki Itni Haqeeqi
Tasveer Paish Nahi Kar Sakta
Jitni Us Ki Guftago Paish Karti Hai"... ... !!!
Khushbu Ki Tarah Dil Mey Basa Kar Usay Dekhun,


Haathon Ki Lakeeron Mey Saja Kar Usay Dekhun,


Dil Usko Chahay Bhi Zara Dair K Liye,


Khud Ussay Larun Aur Phir Mana Kar Usay Dekhun,


sheeshay Sa Dil Hai Uska Kabhi Jo Dukh Jaaye,


Palkon Se Dukh Chun Lun Aur Phir Usay Dekhun,


Uski Khatir Main Zeher Hans K Pee Lun,


Jab Jaan Nikal Jaaye Tab Phir Usay Dekhun,


Uske Lot Anay K Intezar Ki Khatir "Kash",


Sari Umar Mey Bita Dun Aur Phir Usay Dekhun.../
Chor k Tum ko janay wala

Ik Din looat k aye to

Yaad ka Anchal Khushboo ban kar

Phir Tum per Lehraaye to

Koi Purana Zakhm Kuraiday

Meetha Dard Jagaaye to

Guzray Pal ka Dilkash Sapna

Ankhoon mein bas jaye to

Dil per Zakhm laganay wala

Marhum lay kar aye to

Maaan ka sheesha tornay wala

Phir se Jornay aye to

Dhoop mein chor k janay wala

Saya ban k aye to

Dil se Dil ki raaye na poochoo

Dil pagal ho jaye to

Chor k Tum ko janay wala

ik din loat k aye to?????
Kisi Larki Se Mat Kehna

Ke Uss Se Pyar Kertay Ho

Ager Ek Be-Dhayani Mein

Yeh Iqrar Ker Bethay

Kisi Se Pyar Ker Bethay

To Phir Wadoon Ki Doroon Mein

Ulajh Ker Toot Jao Ge

Tumharay Pyar Ka Us Ko

Ager Ehsaas Ho Jaye

To Ho Sakta Hai Tum Us Ka

Rang-o-Roop Ban Jao

Mohabbat Ke Safar Mein Shayad

Aysa Morr Aajaye

Ke Tum Narazgi Ka

Bermila Izhaar Ker Bethay

Koi Inkaar Ker Bethay

To Yeh Samjhoo Koi sheesha,

Koi Dil Toot Jaye Ga

Ke In Ke Dil Bohat Nazuk,

Bohat Kamzoor Hotay Hain

Kisi Larki Ke Dil Ka Tootna Bhi

Mout Hoti Hai

Kisi Larki Say Mat Kehna

Ke Us Se Pyar Kertay Ho....!
Samay K Saath Gar Hum Bhi
Badal Jate Tou Acha Tha

Bohat Armaan Thay Dil Main
Nikal Jate Tou Acha Tha

Na sheeshay K Hi Reh Paye
Na Pathar K Hi Ho Paye

Kisi ache Se Saanche Main
Jo Dhal Jate Tou Acha Tha

Giray Tou Yun Giray Pee Ker
Giraya Sab Ne Nazro’n Se

Zara Larkhara Kar Hi
Sambhal Jate Tou Acha Tha

Wo Hum Se Aise Roothey Hain
K Hum Andar Se Tootey Hain

Kisi Bache K Manind Hi
Machal Jate Tou Acha Tha

Safar Main Ho Koi Saathi
Tou Aasani Si Rehti Hai

Akaile Pan K Zalim Pal
Jo Tal Jate Tou Acha Tha
ShAakh say tut k girnay ki saza do mu jhko,

aik pat''ta hun to yun na hawa do mujhko,


main sheesha hun to lagado kisi tasvEer k sath,


aur pat''ahar hun to rastay say hata do mujko,


main tumhay apni nigahon say na girnay dun ga,



tum jo chaho to nigahon say gira do mujko.