shaam SMS Messages199 messages

Happy Birthday
Yahi dua karta hu khuda se,
aapki zindigi mein koi Gam na ho,
Janamdin per mile hazaro khusiyan,
chahe unme shaamil hum na ho....
Betha tha neem ki chaaoun main ek shaam
Ek pari aayee aur kaha kay aarzoo kiya hai
Kaha kay aankh num hai dil jall raha hai
Bas! ek meethi si khushbo-e-Hina hai
Kehti hai `MUSAFIR` yeh khushbo kiya hai
Kaha kay pagli! sirf ek khayal hai bas
Masoom lafzoon main chupi ek tasveer ayaan hai
Poochti hai Musafir! yeh jadoo kiya hai
Kaha kay Har Nazar na aanay waali cheez jadoo hai
Masoom! poochti hai tumhain aakhir justujoo kiya hai
Kaha kay usay pana mayri khwahish nahin,
Usay mehsoos karna mayri justujoo hai
Ab tum bhi lout jaao pari
Sooraj bhi ghar ko chal diya hai…
Andhairi Raat K Lamhe Tamam Hone Tak,
Tujhe Hi Sochta Hoon Subho Se shaam Hone Tak,

Main Aisa Jisam Hoon Jis Ki Rooh Bhi Tu Hai,
Adhuri Zaat Hoon Main Tere Naam Hone Tak,

Teri Aawaz Sun Na Loon To DIL Nahi Lagta,
Tarapta Rehta Hoon Tujh Se HUM Kalaam Hone Tak,

Teri Nazar Ki Keemat Pe Bik Raha Hai Koi,
Use Khareed Le Tu Mehnge Daam Hone Tak,

Ishq Ki Aag Jo Seene Mein Laga Baithe Hain,
Sulagti Rehti Hai Ye Neendein Haram Hone Tak
Kissi Roz shaam Ke Wakt
Sooraj Ke Aaram Ke Wakt..

Mil Jaye Sath Tera
Hath Mein Le Ker Hath Tera..

Door Kahein Tanhai Mein
Dunya Se Judai Mein..

Apne Sang Bithaoon Tujhe
Dil Ka Haal Sunaoon Tujhe..

Teri Izzat Ehtraam Karun
Tere Hathon Ki Lakeeron Mein
Talash Apna Naam Karun..

Aao Ek Irrada Karein
Phir Milne Ka Wada Karein..

Kissi Roz shaam Ke Wakt
Sooraj Ke Aaraam Ke Wakt..!!
Meri dunya main beshak andhera rahe
Tere lab pe hansi ka basera rahe
Phool khiltay rahen tere 4ron taraf
Tere har simt khushbu ka daaira rahe
Zindagi main teri shaam aaye nahi
Ek chamakta damakta saweera rahe
Tu mere sang ho ye zaroori nhi
Bas tu jahan b rahe sirf mera rahe.
Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi
Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi
Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy..
shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy..
Khat mein dil ki batein likhna achi baat nahi,
Ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy…
Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye,
Aankhon ka ye hal abhi tak kal ki baat lagy…
Mutthi band kiye baitha hon k koi daikh naa ly,
K chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy
Hamara ye tum ko salaam aakhri hai
Suno aj tum se kalaam aakhri hai
Agar ho sake to bhula dena hum ko
Yehi ek chhota sa kaam aakhri hai
Abhi aarzuon k sehra pyase hain
Magar aansuon ka ye jaam aakhri hai
Teri bewafaye ka shikwa aakhri hai
Yehi to wafaon ka inaam aakhri hai
Mariz-e-mohabbat ki aye chaara sazo
Tumhare shehar me ye shaam aakhri hai
Zara dair thehro qazaa k farishto
Labon pe hamara payaam aakhri hai
Koi mil sake ga na Hasrat k jesa
Teri adaon ka ye ghulam aakhri hai
Be Sabab Youn Hi Sar-E-shaam Nikal Aaty Hain,

Ham Bulaien Tu Unhen Kaam Nikal Aaty Hain,

Koi Hamen Shouq Tu Nahi He Aawargi Ka,

Ham Tu Unki Galiyon Me Hamkalam Hone Aaty Hain,

Unki Jafaon K Zakham Kehte Rehte Hain Kuch Is Tarah,

K Raat Ka Andhera Charhte Hi Dard Tamam Nikal Aaty Hain,

Kia Bataon In Husn Walon Ki Tujhe !...Wasi...!

Ham Bulain Tu Parda, Warna Sar-E-aam Nikal Aaty Hain.

=> 03337656310
KABHI YAAD AYE TO PUCHNA ZARA APNI KHALWAT E shaam SE
KISAY ISHQ THA TERI ZAAT SE KISY PYAR THA TERAY NAAM SE
ZARA YAAD KARO K WOH KAUN THA JO KABHI TUJHAY BHI AZIZ THA
WOH JO JEE UTHA TERAY NAAM SE WOH JO MAR MITA TERAY NAAM PE
HUMAIN BERUKHI KA HAI NAHI GILA K HAI YAHI WAFAON KA SILA
MAGAR AISA JURM THA KAUN SA K HUM GAYE DUA O SALAM SE
NA KBHI VISAAL KI CHA KI NA KBHI FIRAQ MAIN AAH KI
K MERA TAREEQA E BANDAGI HAI JUDA TAREEQA E AAM SE...
DOSTI wo hy jo

“JANUARY” ki dhoop ho,

“FEBRUARY” ki barish ho,

“MARCH” ki shaam ho,

“APRIL” ki hawa ho,

“MAY” ki subah ho,

“JUNE” ki chawo’on ho,

“JULY” ki khushboo ho,

“AUGUST” ki taaron bhri raat ho,
“SEPTEMBER” ki chandni ho,

“OCTOBER” ki rim-jhim ho,

“NOVEMBER” ki bahaar ho,

“DECEMBER” ki sard raat ho,

Us sardi mai mery sard Hath hon or aap ky leay Dua ek khass ho k,
” SADA
KHUSH
RAHO “ameen”
Saal Ka Aakhri Din Hy

Abhi Kuch Dhuup Hy Lekin

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy

Chalo Mil beth Ker Apne
Khasare Baant Lete Hyn

Sab Hi Rung aur Jugnuu Aur
Sitaare Baant Lete Hyn

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy

Tou Kyun Na Kuch shaam Se Pehly

Jo Kuch Ghariya'n Muya'asar Hyn

Unhii Mein Zindagi Ker Le'n

Kisi Ehsaas Ki Sham'ma Jala K

In Andhero'n Mein

Koi Daam Roshni Ker Le'n

Chalo Hum Dosti Ker Le'n

Zara Si Dair Ko Tey Hy k
Aakhir shaam Hona Hy

Haqeeqat Ya Kahani Jo Bhi Hy
Anjaam Hona Hy ... !!!