sad SMS Messages628 messages

Wo Aana -parast Sahi Uski Baton mein Ikrar B Tha
Uske Chubtay Huy Lehje Mein Chupa Hua Piyar B Tha
Wo Mujhe Likhta Hai K Intizar Na Kero Mera
Lakin Uski Tehreeron Mein sadiyon se Intizar B Tha
WO Kehta Tha MAt Roko K Manana Nahi Aata
Meri Narazgi Pe lakin Wo Beqarar B tha
Tum Jao Humse Door To AIk Kaam Ker Jana
Kuch Pal Apne Hamare Naam Ker Jana
Agar Aa jaye Mout Hamain Tere Aane Se Pehle
To aa Ker Mere Janaze Ko Ehtiram Ker Jana
Na Rona Iss Qadar K Takleef Ho hamain
Mout Ko B Mazak Samjh Ker Aanjan Ben Jana
MeiN AIk Din So Jaonga sada k Liye
Phir Mujhe Bewafa Keh K Badnaam Ker Jana
Jo Guzro Meri Qabar Se To Nazrain Na Pehrna
Mehmaan Hee Ben K Dua Salam Ker Jana
Ajeeb Hijar parasti Thi Uski Fitrat Mein
Shajar Ke Tooty Patty Talash Kerta Tha
Qayyam Kerta Tha Wo Mujh Mein Soofyon Ki Tarah
Udas Reh Ker Goshay Talash Kerta Tha
Tamam Rat Wo Zakham De ke Apne Pairon Ko
Mere Wajod Ke Raizay Talash Kerta tha
Duain Kerta Tha Ujray Huy Mazaron Per
Bary Ajeeb Sahary Talash Kerta Tha
Bhulaye Kyun Aziyat Pasandiyan Uski
Khusi K Dhair Mein sadmay Talash Kerta Tha
Bol Na Bol Ay Jane Wale Sun To Le Diwano Ki
AB Nahi Dekhi Jati Hamse Ye Halat Armano Ki
Husn K Khilte Phool hamesha Bedardon K Hath Lage
Aur Chahat K matwalon Ko Dhool Mili Weerano Ki
Dil K Nazdeek Nazuk Jazbon Per Raaj Hai Sone Chandi Ka
Ye Duniya Kia Qemat Degi sada Dil Insano Ki
Sheikh sadi ka Qaul Hai,
Talwar 2 Qisam ki Hoti Hai,
1-Lohay ki
2-Muhabbat ki
Lohay ki Talwar 1 ko 2 kar Deti Hai
or
Muhabbat ki Talwar 2 ko 1 Kar Deti Hai........... :o)
dil ke nazuk jazboob per raaj hai sone chandi ka
yeh dunya kya qeemat de gi sada dil insan ki???
Wo Waqt Bhi Dekha Hai Tareeq Ki Ghadiyo''n Ne

Jab Lamhon Ne Khata Ki Aur sadiyon Ne Saza Payi Hai
Her Roz Naya Zakham-E-Judai Na Dia Ker
Milna Jo Nahi hOta Dikhai Na Dia Ker
Ab Teri Rafaqat Mein sadaqat Nahi Milti
Ab Apni Mohabbat Ki Safai Na Dia Ker
Chehra mera tha,nigahen uski
Khamosi mein bhi wo baten uski
Mere chehre pe ghazal likhti rahi
Sher kehti hui ankhen uski
Aise mausam bhi guzare hamne
Subah jab apni thi shamen uski
Neend is soch mein tuti aksar
Kis tarah katati hai raten uski
Dur rehkar bhi sada rehti hai
Mujhko thame hue bahen usk
Ksi Ki Chah Me Aisa b Kya Srshar Ho Jana
K Apne Raste Ki Ap Hi Dewar Ho Jana
sada Khalwat Me Apne Ap Se Baten Boht Krna
Or Us k Samny
Chup Surat-e-Dewar Ho Jana
Har ghari imtihaan mein guzri

Zindagi tere dhyaan mein guzri

Agli sadiyon mein ghar bana lena

Ye sadi to uraan mein guzri....
Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak
Sard kamare may machalati garm sanson ki mahak

Bazuon ke sakht halqe may koi nazuk badan
Silwaten malabus par anchal bhi kuch dhalaka hua

Garmi e rukhsar se dahaki hui thandi hawa
Narm zulfon se mulayam ungaliyon ki cher char

Surkh honthon par shararat ke kisi lamhen ka aks
Reshami bahon may churi ki kabhi maddham dhanak

Sharmagin lahajon may dhire se kabhi chahat ki bat
Do dilon ki dharakanon may gunjati thi ek sada

Kanpate honthon pe thi allah se sirf ek dua
Kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara