saath SMS Messages417 messages

Nikli Mohabbat Ki Baat, To Tum Yaad Aa Gayi,
Uthe Dil Mein Woh Jazbaat, To Tum Yaad Aa Gayi,

Yun To Dil Mera Bebas Na Rehta Tha,
Par Badle Jab Halaat, To Tum Yaad Aa Gayi,

Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko Magar,
Hui Jab Barsaat, To Tum Yaad Aa Gayi,

Sone Chaandi Se Lada Rehta Tha Yeh Jism To Tera,
Dekhe Khaali Mere Haath, To Tum Yaad Aa Gayi,

Tum To Rehti Thi Taaron Ki Basti Mein,
Sochi Apni Auqaat, To Tum Yaad Aa Gayi,

Nahi Sochoonga Tere Baare Mein Yeh Kaha Tha Magar,
Dekhi Teri Baraat, To Tum Yaad Aa Gayi,

Bhula Ke TujhKo Saari Umar Guzaar Di,
Jab Chhoda Zindagi Ne saath, To Tum Yaad Aa Gayi.
Yaad Aatey Hain Jab Bhi Din Woh Puraney
Ye Naina Kyun Lagtey Hain Aansoo Bahaney

Pagley Hain Naina Itna Na Jaaney
Nahin Lottey Hain Kabhi Din Puraney

Woh Bachpan Ki Baatein Woh Rangeen Zamaney
Chootey Yoon Hum Say Hon Jaisey Khazaney

Kahan Lot''tey Hain Woh saathi Puraney
Kahan Phir Say Miltey Hain Gum Kar Khazaney ....!
Wo to AMBER hai,
Ussay Apnay Anchal pay
Chaand Sjanay ka huq hai
Main to Fakat Khushbu hoon
Or khushbu k Muqadar main
Aazl se Bikhar Jana hi Likha hia


Us k Naam jo Zindagi ki Raah main Mera saath choor k ab pachta raha hai
Apna saath De Ya
Qaid-e-Tanhai De

Mujhe Kuch Bhi De
Magar Be-intehai De

Meri Aankho''n Pe Yun
Naqsh Ho Tera

Mein Khud Ko Bhi Deho''n
Tou Tuu Hi Dkhai De ...
Ye Nadiya''n Jo Kahin
Fur Ja Kr Teherti Hyn
Najane Kon Se Darya k
saath Jurti Hyn
Larazti Palko''n Ka Bosa
Lia Tha Akheer Shab
Ab Tk Sar-e-Lab Titlya''n c Urti Hyn ...
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga
Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga
Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey
Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi
Ajeeb Hijar Parasti Thi
Us Ki Fitrat Main

Shajar K Tuutey Patty
Talash Krta Tha

Tamam Raat Wo Parde
Hata K Chaand K saath

Jo Kho Gaye Wo Lamhe
Talaash Kerta Tha ...
Wo Paas Aate To Hum Baat Kar Lete

Wo saath Rehte To Pyaar Kar Lete

Kya Majburi Rahi Jo Wo Chale Gaye

Wajah To Batate Hum Intzar Kar Lete
Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Mera Dil Apni dharkno Kay Beqaboo Honay Ka Khail Dekhna Chahta Hai Ab Laut Aao Kay Aik Bar Phir Meri Palkien Tumhari Nazroon Sey Ghabra Ker Jhukna Chahti Hain Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Meray Qadam Tumharey Qadmon Kay saath Unhin Rastoon Per Chalna Chahtey Hain Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Mera Wajood Tumharey Ishq Ki Aag Main Jalna Chahta Hai Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Meri Zindagi Tumhari Zindagi Sey Jurr Ker Khud Ko Jeena Chahti Hai
Sab Kuch Milta Hai Is Jahan Mein Amjad
Nahin Milta To Guzra Hoa Pal Nahin Milta

Kartey Rahe’n Ge Younhi Sairab Zameene’n
In Aansoo’n Ko Ab Koi Aanchal Nahin Milta

Ghurbat Mein Mayyasar Kahan Khushion Ki Dilbari
Sehra Mein Kisi Ko Kabhi Baadal Nahin Milta

Kahney Ko Gham Khowar-o-Chara Saaz Hain Bohat
Amlann Kisi Ke saath Koi Shamil Nahin Milta

Ham Imaan Ki Dolat Liye Shahadat Ke Muntazir
Hamari Safo’n Mein Koi Buzdil Nahin Milta.
Dunya Bhi Tere saath Hy Dil Bhi Teri Taraf

Ab Mera Tera Faisla Tehra Khuda K Haath ...
Kash Ho Aisa Jab Bhi Mujhko Chahat Ho Teri
Dil Mange Tera saath Aur Mujhko Ijajat Ho Teri

Yaad Karta Hai Dil Phir Bhi Kabhi Chaha Nahi
Din Nikalta Rahe, Har Din Mujhe Jarurat Ho Teri

Maine Chaha Hai Bas Itna Hi, Apni Kismat Se
Ki Jab Tak Jiyun Main, Dil Main Mahobat Ho Teri

Rooh Mitti Nahi Par, Janti Hun Shareer Nashvar Hai
Jahan Lun Aakhri Saansein Vahin Aahat Ho Teri