Agar tumhein ho kabool jana,
Falak k tabinda Chand taray,
Ye wadioon k Gulab
saray,
Agar kaho to bana doon
saray,
Tumharay kadmoon ki dhool jana,
Agar tumhein ho kabool jana,
Tumhari Ankhoon ko jam likhein,
Tumhein nazar
se
slam likhein,
Aur apne dil k ha
seen work pe,
Fakat Tumhara hi naam likhein,
Jahan ki her aik naghmagi ko,
Tumhara Tarz-e kalam likhein,
Agar Ejazat ho hum b ker lein,
Ye pyar ki ik bhool jana,
Agar Tumhein ho qabool Jana...?