koi waqt purana yad aya koi dard
suhana yad aya,
aur chalk
se in deewaron per kuch likh kar jana yad aya,
tera milna neem ki chaon mein aur
sir rakh dena kandhe pe, mera ye kehna koi dekh na le tera wo ghabrana yad aya,
sakhiyon k jhurmat mein tera paani bharne jana,
mera dekh k tuj ko han
s dena tera wo
sharmana yad aya,
kabi ai
sa b hota tha main tuj ko chorne jata tha,
jub wapi
s aane lagta tera wo hath hilana yad aya,
beeghe kapron, beeghi zulfon, nange paon,
bar
saat ki beeghi raton mein tera milne aana yad aya,
wo waqt gya lamhe beetay ab her taraf tanhai hai,
wo ik hai manzar ankhon mein tera wo chor k jana yad aya