rana SMS Messages146 messages

Chor k Tum ko janay wala

Ik Din looat k aye to

Yaad ka Anchal Khushboo ban kar

Phir Tum per Lehraaye to

Koi Purana Zakhm Kuraiday

Meetha Dard Jagaaye to

Guzray Pal ka Dilkash Sapna

Ankhoon mein bas jaye to

Dil per Zakhm laganay wala

Marhum lay kar aye to

Maaan ka Sheesha tornay wala

Phir se Jornay aye to

Dhoop mein chor k janay wala

Saya ban k aye to

Dil se Dil ki raaye na poochoo

Dil pagal ho jaye to

Chor k Tum ko janay wala

ik din loat k aye to?????
koi waqt purana yad aya koi dard suhana yad aya,
aur chalk se in deewaron per kuch likh kar jana yad aya,
tera milna neem ki chaon mein aur sir rakh dena kandhe pe, mera ye kehna koi dekh na le tera wo ghabrana yad aya,
sakhiyon k jhurmat mein tera paani bharne jana,
mera dekh k tuj ko hans dena tera wo sharmana yad aya,
kabi aisa b hota tha main tuj ko chorne jata tha,
jub wapis aane lagta tera wo hath hilana yad aya,
beeghe kapron, beeghi zulfon, nange paon,
barsaat ki beeghi raton mein tera milne aana yad aya,
wo waqt gya lamhe beetay ab her taraf tanhai hai,
wo ik hai manzar ankhon mein tera wo chor k jana yad aya
Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

chahat teri meri deewangi apni jagah
Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

Goo kafi nahi pyarr mai lamhoon ka milan
Hota hai ajaam-e-ulfat roohon ka aik hona

Bikhrey hathon ko samait kyon nahi letey
Mushkil buhat hai Urooj-o-zawaal ka aik hona

Aab bhi yaad atey hain beetey hoye pal
Wo zulfon ka bikhrana or nazron ka aik hona

Aik hi hotey hain aksar rastey humarey
ZAROORI NAHIN MAGER, MANZIL KA IK HONA
Jab piyar karna seekh liya,
tou piyar nibhana bhi seekh liya,
jab aaye aapki yaad tou,
palkon ko jhukana bhi seekh liya,
is dar se key koi dekh na le ye aansoo,
har gham mein muskurana bhi seekh liya..
Ek muddat hui ek zamana hua
Khaak-e-gulshan mein jab aashiyana hua

zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujrimana hua

phool jalte rahe chaand hansta raha
aarzoo ka muqammal fasana hua

daag dil ke shahanshah ke sikke bane
dil ka muflis-kada jab Khazana hua

rah_bar ne palat kar na dekha kabhi
rah-o-raste ka nishana hua

ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aastana hua

dekh mizraab se Khoon tapakne laga
saaz ka taar marg-e-tarana hua

pehle hoti thi koi wafa-parvari
ab to "Sagar" ye qissa purana hua...........
WADA KARO K Mere Marne Par Aogay

Or Mujhey Apne Hathon Sy Dafnaogay

Aogay Meri Maiyat Pe Apno Ki Tarha

Saamne Duniya K Aanson B Bahaogay

Bataogay Na Ksi Ko Hamari Alhedgi Ka

Wohi Purana Piyar Duniya Ko Dikhaogay

Dogay Sab Sy Ziyada Kandha MujheUmar Bhar Mere Naam Sy Na Ghabraogay

Chorh K Zamane Bhar Ki Khushiyan Mere Liye

Or Mere Dil Sy Apna Gham B Mitaogay

Roz Aaya Karogoy

Tum Meri Qabar pe

Or Bakhshish K Liye Haath B Uthaogay

WADA KARO"
Muj mai jo kuch acha hai sab uss ka hai
ajj jo mera itna charcha hai sab uss ka
hai

uss ka mera rishta bara poorana hai
mai ney jo kuch soocha hai sab uss ka hai

meri aankhein uss key noor sey rooshan hain
mai ney jo kuch dheikha hai sab kuch uss ka hai

mai ney jo kuch khoya tha sab mera tha
mai ney jo kuch paya hai sab uss ka hai

jitni baar mai toota hon wo toota tha
idher udher jo bikhra hai sab uss ka hai

mera jitna charcha hai sab uss ka hai
muj mai jo kuch acha hai sab uss ka hai
Waqt ko bass tumhare saath bitana acha lagta hai,

Tumhi se baat karna muskurana acha lagta hai,

Tumhare aansu b pyaare tumhari muskurahat b,

Tumhi se roothna tum ko manana acha lagta hai,

Tumhari khushyaan mujhe Ae dost hein apni jaan se pyaari,

Tumhare waste har gham uthana acha lagta ha
Tere Pyaar Mein Rusva Hona Kitna Acha Lagta Hai,
Qadam Qadam Par Thokar Khana Kitna Acha Lagta Hai

Roo Leta Hoon Hans Leta Hoon Tere Aane Jane Par,
Tera ghar Mein Aana Jana Kitna Acha Lagta Hai

Main Apna Fasaana Khud Hi Kehta Sunta Rehta Hoon
Achi Yaadon Ka Duhrana Kitna Acha Lagta Hai

Tere Hi Raste Par Chalna Teri Hi Manzil Ko Jana,
Tera Hi Har Dam Gun gana Kitna Acha Lagta Hai

Jin Chashmon Ka Paani Dil Duniya Seerab Kare,
Un Chashmon Ka Paani Peena Kitna Acha Lagta Hai

Sab Logon Ki Batein Sun na Aur Chup Rehna,
Us kai Khatir Har Dukh Sehna Kitna Acha Lagta Hai

Yun To Duniya Mein Sab Batein Hoti Rehti Hain
Laikin Kuch Batoon Ka Hona Kitna Acha Lagta Hai
Buhat Si Kitabein
Buhat Si CDs Aur Cassetes
Buhat Si Betuki Oppointments
Doston se Phone Par Lambi Taweel Guftagu
Yah Phir Uljhi Rahon Par Chalte
Yonhi Waqt Bitana
Be Simat Raston Par Bewajah Khaak Urana
Yah Phir Net Ke Uljhawon Mein
Be Tarah Khud Ko Uljhana
Baat Be Baat Hansne Ke Bahanay
Buhat Hain Khush
Duniya Ko Dikhane Ko
Kitne Bahane Dhoondta Hai Dil
Faqat Usse Bhoolane Ko..........!
Waqt Ki Raftar Key Sath Tu Chalna Seekh Ley
Dard Seh Ker Is Jahan Main Muskrana Seekh Ley

Doosron Sey Shikwa Kerna Or Shikayat Chor Dey
Her Kisi Sey Piyar Kerna Dil Lagana Seekh Ley

Kanch Key Tukrey Parey Hain Zindagi Ki Rah Per
Kanch Key Tukron Pey Chal Ker Tu Bhi Jeena Seekh Ley

Gham Utha Ker Muskrana Kaam Yeh Waliyon Ka Hey
Auoliya Key Naqsh-E-Pa Per Tu Bhi Chalna Seekh Ley

Kis Qadar Insaan Aajiz Hey Zamaney Main Qamar
Doosron Sey Pyar Ker Or Khud Sey Larna Seekh Ley
Gam nahi waha jaha ho fasana tera,Khushiya dhundti rahe aashiyana tera,Wo waqt hi na aaye jab tu udas ho,Ye duniya bhula na sake muskurana tera..