Jab piyar karna seekh

Jab piyar karna seekh
Jab piyar karna seekh liya,
tou piyar nibhana bhi seekh liya,
jab aaye aapki yaad tou,
palkon ko jhukana bhi seekh liya,
is dar se key koi dekh na le ye aansoo,
har gham mein muskurana bhi seekh liya..
  

Jun, 05 2010     208 chars (2 sms)     2532 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

taamul to tha unn ko aane mein a qasid...

mgr ye bta tarze inkar kia tha.
Chehre pe khushi chah jati hai

Aankhon mein suroor aajata hai

Jab tum MuJhe apna kehte Ho

Apne pe guroor Aajata hai
Suna Hai Zindagi Imtehan Leti Hai

FARAZ

Par Yahan To Imtehano Ne Zindagi Lel
larzish nazar maiN lahjay maiN luk''nat ajeeb thei
is awalee''N visaal ki wahshat ajeeb thei

roshaN huwei usi se usi se bikhar gaa''ee
shabnum ko aaftaab se nisbat ajeeb thei

aansoo dee''ay per aankh ko ronay ki khoo na de
aiey badhsa-e-gham ye anaa''yet ajeeb thei

khirki maiN aa k chaand ne jhapki nahi palak
kal shab meray makaa''N maiN suhbat ajeeb thei

sahil pe they tu rait ka jaa''doo tha har taraf
kashti chali tu sajar ki dahshat ajeeb thei

dil maiN na rah sakay jo kahiN tu kahi na jaa''ey
amjad shikast-e-dil ki haalat ajeeb thei
~Kisi ne kaha tha kisi se na kehna~

~Lage chot dil pe to Khamosh rehna~

~Jahan chot khana wahin Muskurana~

~Magar is ada se k ro de Zamana.
Wo Samne Aye To Nazron Ko Jhukaa Loon Ga
Dekhoon Ga Nahi Phir Bhi Tasweer Bana Loon Ga

Aana Ho To Aa Jao Ruswayee Nahi Hogi
Dekhega Nahi Koi Palkon Mai Chupa Loon Ga

Jo Hum Per Guzarni Hai Ek Bar Guzar Jaye
Her Gham Ki Tarha Tujh Ko Seene Se Laga Loon Ga

Weeran Agar Dil Ho Aankhon Mai Andhera Ho
Yaadon Ke Diye Apni Palkon Mai Saja Loon Ga

Manzoor Agar Hogi Ruswayi Teri Mujh Ko
Mai Beth Ke Sahil Se Toofaan Utha Loon Ga

Naraz Agar Wo Hain Mere Nasheman Se
Mai Apne Nasheman Ke Tinkon Ko Hata Loon Ga

Kyun Mujh Se Khafa Ho Ker Wo Door Gaye
Baanhon Mai Wo Aa Jayaen Mai Un Ko Mana Loon Ga
use kaho ub nahi aya jaye ga teri shahr ki tarf..

qadmon k nishan na milne per rota raha hon main...
jo khayal thay sabhi jall gaye,

mere Lafz maani
Badal Gaye,


to meri nAzAr se he bojh le

Meri zindagi ki pahalian.
bakhsha hai thokroon nay sanbhalnay ka husla,

har hadsa khayal ko gehrai day gaya..
subhu khud ko kholta hon rasi apny paon ki,

din dhaly khud ko kahen se pakr kar lata hon main,
Zindgi ki rah ma rasty badal jaty hen,

waqt ki andhi ma insan badal jaty hen,

sochty hen tumhe itna yad na karenlekin,

Ankh band karty he irady badal jaty hen
Jo Poochta Hai Koi Surkh Kiun Hain Aj Ankhain
To Ankh Mal Ke Kheti Hon Ke Raat So Na Saki
Hazar Chahon Magar Yeh Na Khe Sakon Gi Kabhi Bhi
Ke Raat Ronay Ki Khuwhish Thi Magar Roo Na Saki