Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din
raazon ki tarha utro mere dil mein kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din
Pedon ki tarah husn ki baarish mein nahaa loon
Baadal ki tarha jhoom ke ghirr aao kisi din
Khushboo ki tarha guzro mere dil ki gali se
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kisi din
Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa ki
Phir lutf-e-shab- a-vasl ko dohraao kisi din
Guzrein jo mere ghar se to ruk jaayein sitaare
Iss tarha meri raat ko chamkaao kisi din
Main apni har ik saans usi raat ko de doon
Sarr rakh ke mere seene pe so jaao kisi din