qadar SMS Messages145 messages

Yeh Ansoo

Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
Yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo ,
Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo,
Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo ,
Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo.... !!
Wafa ruswa nahe krna,
Suno aisa nahe krna,
Main pehlay he akela hon,
Mujhe tanha nahe krna,
Bohat massrrof ho jana,
Tou socha nahe krna,
Bharosa bi zaroori hy,
Magr sab ka nahe krna,
Muqadar phir muqadar hy,
Kabi daawa nahe krna,
Jo likha hy wo hona hy,
Kabhi shikwa nahe krna,
Meri takmeel tm se hy,
Mujhe aadha nahe krna,
Haqiqat hy milan apna,
Isay sapna nahe krna,
Humain tm yaad rehty ho,
Humain bhoola nahe krna
kabhi lafz bhol jaon, kabhi baat bhol jaon,
tujhe is qadar chahoon apni zaat bhool jaon,
uth ker kabhi jo tere paas se chal doon,
jate howy khud ko tere paas bhool jaon.
Aziz Itna He Rakho K Gee Sambhal Jaaey


Aub Iss qadar Bhi na Chaho k Dum Nikaljaaey
Dil- e- Nadaan aj Udaas bohat tha, Koi Dur Hotay hue b paas bohat tha.

kis qadar thay logon se marasam mere phir b teri kami ka ehsaas bohat tha.
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
K zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein
Guzarnay pati tu shadab ho bhi sakti thi
Yeh teragi jo meri zeest ka muqadar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha k mein begana alm ho kar
Teray jamal ki ranaeon mein kho rehta
Tera gudaz badan teri neem baz ankhein
Inheen haseen fasanoon mein mehav ho rehta
Pukarteen mujhe jab talkhiyan zamanay ki
Teray labon say halawat k ghoont pee leta
Hayat cheekhati pherti barehna sir aur mein
Ghaneri zulfon k saya mein chhup k jee leta
Ankhoon may kayi sapnay saja kar roye bohot hai hum.
dil ko nayi dunya dikha kar kar roye bohot hai hum.

woh badal gaya to pher li hum nay bhi nazar apni.
par us kay khatoon ko jala kar kar roye bohot hai hum.

laut aye to ahin us ki mehfil say bacha kar ana apni.
par us ki bazm say a kar kar roye bohot hai hum.

jisay kia tha roshan tamanhaon say hum nay apni.
us shamy wafa ka bhuja kar kar roye bohot hai hum.

jin kay saye mai ki thin hum nay kayin batain.
un baghoon mai tanha ja kar kar roye bohot hai hum.

kis qadar khoshi say kia hum dum ko rukhsat hum nay.
magar sab say nazar bacha kay kar roye bohot hai hum.
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
kha da chi maath di sho pa stargo ki azghi zargia,
wali di gul sara da mini tamanna kawala.

sta pa shakman zra ki zama da khaloos qadar na wo,
be nanga yara ma kho mina pa rishtia kawala,

da dey na ghat zulam ba yara pa duniya ki na vi,
da raqeeb makhki di pa ma pori khanda kawala.
Hamaish Ghulab ki tarah muskarate rehna,

Magar Ghulab banne ki koshish na karna,

Q K khushbo har Ghulab ka muqadar nhi,


magar murjahana har Ghulab ki kismat.
Wafa ruswa nahi karna Suno aisa nahi krna

Main pehlay he akela hon, Mujhy tanha nahi krna

Judai b jo aa jai, Tu dil chota nahi krna

Buhat musrof ho jana Mujhy socha nahi krna

Barosa b zarori hai Magar sab ka nahi krna

Muqadar phir muqadar hai, Kabi daawa nahi krna

Jo likha hai wahi ho ga Kbhi shikwa nahi krna

Meri takmeel tum se hai Mujhay adha nahi karna

Haqeeqat hai milan apna, Isay spna nai krna

Hamain tum yad rehtay ho, Hamen bhoola nahi krna