pura SMS Messages167 messages

puray hon aapke sare Aim,

Sada barhti rahe aap ki Fame,

Milte rahe sabse Pyar aur Dosti,

Aur mile a lot of Fun & Masti.

Wish you a..

Happy New Year with a Plenty of Peace & Prosperity.
aaj purani rahoon sey koi mujhe awaz na dey, dard mein doobey gheet na dey ghum ka sisakta saaz na dey,
(Zardari)
hum chord chaley hein mehfil ko yaad aaye kabhi to mat rona. (Nawaz Sharif)

socha tha pyar na karein ghey, hum na rice pe marein ghey.(Pervaiz)
Gulsan me bhanwron ka fera ho gya,
purav me suraj ka dera ho gya.
Muskan ke saath aankhe khol pyaare,
Ek baar fir se svera ho gya
"GOOD MORNING"
Waqt Ki Hai Rawani

Zindagi Likh Rahi Kahani

Tu B Badal Dagar purani

Aye Gi Phir Ghadi Suhani

Baqi Nazam Sunaon Ga Kal

Filhal Tu Uth Ja JAn|x . . . ;->

GuD MorninG
"D" .. Dil se nikli hui
awaaz jo aap ko pura
din sachi khushi de

"U" ... Udaasi aap k
qareeb sy na guzry

"A" .. Aap hamesha
khush rahe''n

Aamin

G o_O d
A.M :)
Kbhi sochte h ek GULAB bhej de,
Kbhi chahte h pura BAAG bhej de,
ja Rhe ho agar Aap sone ko to Dil krta h,
Apki PALKO me ek PYARA SA KHWAB bhej de
"GOOD NIGHT"
purani kahawat hai k,
sotay waqt koi tension lay kr nahi sona chahiye,
.
.
.
Phir bhi
.
.
.
.

.

.

Hum Aap ko yad kr k soty hain...!

Good nigt.
Musafir to bichadte hain , rafaqat kab badalti hai
Mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai

Tumhi ko chahte hain hum ,tumhi se pyar karte hain
Yehi barson ki aadat hai aur aadat kab badalti hai

Tumhe jo yaad rakha hai yehi apni ibadat hai
Jo paththar par likhi jaaye ,ibarat kab badalti hai

Kali ka phool banna aur bhikhar jaana
Yehi qaanoon -e- fitrat hai to fitrat kab badalti hai

Jo dil pe naqsh kar jaaye aur aankhon mein simat aaye
Alaamat hai yeh chaahat ki to chaahat kab badalti hai

Use chaaha use pooja yehi tauqeer hai apni
Hamein gumrah mat samjho ibaadat kab badalti hai

purane zakhm ko ab Bhula dein yahi achcha hai
Na chaahe aap hi koi to qismat kab badalti hai
khuwab k phoolo ki tabeere kahani ho gayen khoon thanda pr gya ankhen purani ho gayen Jis ka chehra tha chamkte mousamo ki AArzoo uski tasweren bhi aur aankhe khizani ho gayen dil bhr aaya kagaz khali ki surat dekh kar Jinko likhna tha wo sub batain zubani ho gayen Jo muqadar tha usay to rokna bus me na tha unka kya karte Jo batain na gahani ho gayen Reh gya dil me rang yaad e raftagan phool mehnge ho gaye qabrain purani ho gayen . . .
Rishta Wohi purana Par Tum Kuch KHASS Lagte Ho,

Aankho Se Door Sahi Magar Dil Ke PASS Rehte Ho,

Mujhe Bas Itna Bata Do,

Kya Tum Bhi hamare Bina UDASS Rehte Ho??
zikr-e-shab-e-firaq se vehshat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
rasta badal ke chalane ki aadat use bhi thi

us raat der tak vo raha mahv-e-guftagoo
masroof main bhi kam thaa faragat use bhi thi

sunta tha vo bhi sab se purani kahaniyaan
taza rafaqaton ki zaroorat use bhi thi

mujh se bichar ke shaher main ghul mil gaya vo shaKhs
haalaa ke shahar bhar se raqabat use bhi thi

"KASH"na jan khud ko nakaam kay bad zouq,
woh mana nahi par tujh say mohabbat usay bhi thi,

vo mujh se barh ke zabt ka aadi tha ji gaya
varna har ek saans qayamat use bhi thi
Ak Chand Tanhaa Khila Raha meray Aasman Se Zara Parey
Meray Saath Saath Safar Main Tha Meri Manzilon Se Zara Pary

Teri Justuju k Hisaar Say Tere Khawab, Tere Khayal Se
Mai woh Shakhs tha Jo Khara Raha Teri Chahtoun Se Zara Parey

Kabhi Dil ki Baat Kahi Na thi, Jo Kahi Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz puray to Thay magar, Teri Sama''atoun Se Zara Parey

Tu Chala Gaya meray Humsafar Zara Dekh Murr kay Ek Nazar
Meri Kashtian hain Jali Houe Teray Sahilon Se Zara Parey