nazar SMS Messages423 messages

Hum to wo log han jo
Na kisi k dast-e-shumar mein han
Na kisi ki nigah k hisar mein han
Yun jeise sadiun ka ho be-ant safar
Sehra sehra phirta koi khak basar
Kya puchte ho kon han hum
Ham to jugnu bi nahi han
K ksi ki ankh mein chamakte
Ham to ansu ki tarhan han
Ankh se tapke or dub gaey
Mohabbat ki aass mein
Garh se nikle or besimt musafat mein
Darbadar phirte huey
Ksi benam shaam ki nazar huwe..
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud nazar Aogye Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer nazar Aati Hai
Dugmagao ge, Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai Meri Rah Se Jaaker Dekho

Bazm Ka Meri Charagaan Hai nazar Ka Dhoka
Kin Andheron Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aagosh Main K Meri nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe ek Raat Nawaz De K Us k baad Seher Na Ho

Wo Bara Raheem-O-Kareem Hai, Mujhe Sift Ye Ataa Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon Aur Meri Dua Main asar Na ho

Kabhi Din Ki Dhoop Main Jhoom K Kabhi Shab K Phool Choom K
Yunhi Saath Saath Chalain Sada, Kabhi Khatam Apna Safar Na ho

Mere Paas Mere Mehboob ZAra Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkano''n Main basa Loon k Bicherne Ka Kabhi Darr na Ho

Kabhi Yun Milain Koi Maslihat Koi Khauf Dil Main Zara Na ho
Mujhe Apni Khabbar Na Ho Tujhe Apna Koi Pata Na ho

Tere Ikhtiyaar Main Kia Nahi, Mujhe Is Terha Nawaaz De
Yun Duaain Meri qubool Hoon k Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho
Ak Chand Tanhaa Khila Raha meray Aasman Se Zara Parey
Meray Saath Saath Safar Main Tha Meri Manzilon Se Zara Pary

Teri Justuju k Hisaar Say Tere Khawab, Tere Khayal Se
Mai woh Shakhs tha Jo Khara Raha Teri Chahtoun Se Zara Parey

Kabhi Dil ki Baat Kahi Na thi, Jo Kahi Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Puray to Thay magar, Teri Sama''atoun Se Zara Parey

Tu Chala Gaya meray Humsafar Zara Dekh Murr kay Ek nazar
Meri Kashtian hain Jali Houe Teray Sahilon Se Zara Parey
dil ke daryaa mein utar ke dekho
tum mohabbat mujh se kar ke dekho

phir tumhein meri talab ho shaayad
tum kabhi mujh se bichaR ke dekho

ishq ka saaghar bohat hai gehraa
Doob kar khud bhi ubhar ke dekho

dunya phir lagne lagegi dilkash
isko tum meri nazar se dekho

pyaar kehte hain kise,zaraa tum
meri baahon mein bikhar ke dekho

mera gham mehsoos karna ho to
meri raahon se guzar ke dekho

kya asar hota hai berukhii ka?
meri chaahat se mukar ke dekho

jo mohabbat ne hai dekha,tum bhii
uski aankhon meiN sanwar ke dekho
Dil-o-nazar se kuch dair b juda rakhun,

ye mere bas mein nahi k tujhe khafa rakhun..

Nhi hay kuch b mere zahan mein siwai is k,

main teri yad bhula dun to yad kia rakhn..

kabhi jo mujh se koi pooch le meri marzi,

to apna naam muhabbat tera wafa rakhun...
Aey Kaash…
woh phool si muskurahat merey liye hoti
woh masoom shararat merey liye hoti

main us zulf ki chaaon main soo jaata
woh kaali raat merey liye hoti

raat bhar woh ghomaati apna kangan
woh bechayni woh betaabi merey liye hoti

woh ek taara tha khuley aasmaan main
aey kaash woh roshni merey liye hoti

merey wujood main bhi zindagi ka suraagh milta
jo woh munawar nazar merey liye hoti

rishtaa kuch to ban jaata apna bhi
mohabbat nahi na sahi,nafrat merey liye hoti
Tum kia ho Duniya ki nazar main
aik aam insan
ya ziada say ziada achay ya buray per
meri nazar main tum seep may moti hou
tum lehro ki shararat ho
tum thandi dhoup ki hararat hou
tum barisho ki sada hou
tum ghamo main khushiyo ka ahsas hou
tum dharkano ki awaz hou
tum sada ho mairay piyar ki
tum hi humsafer tum hi manzil ho zindaygi ki
tum khud ko kabhi mat daikhna duniya ki nazar say
kiun kay tum khas ho
sansou ki saaz hou...
Meri Khamosh Mohabbat Ka
Itna To Sila Diya Hota,
Kabhi Ek nazar Chahat Se
Dekh Hee Liya Hota

Hum Bhi Tujhe Ishq-0-Mohabbat
Se Aashna Karte,
Bas Ek Baar Apne Dil Mein
Aane To Diya Hota.

Kiya Jata Tumhara Bas
Hamein He Dil Se Khushi Milti,
Apni Zindagi Ki Kitaab Mein
Naam Hamara Bhi Likh Liya Hota.

Dekh Lete Zara Ghor Se Shayad,
Tumhare Haath Ki Lakiron Mein
Hamari Kismat Ka Bhi Diya Hota.
Meri Khamosh Mohabbat Ka
Itna To Sila Diya Hota,
Ik sersari si nazar wo mujh pe b daal dy,

Ae Rab-e-zuljlal usay itna khyal de,

Itna bi arooj kya k wo mil he na sake,

Wo ho sake mera usay itna zawal de...!
Utra hai mery Dil mai koi Chand Nagar sy,Ab khauf nai koi andheron k Safar sy,Wo Baat hai tujh mai k koi tujhsa nai hai,A Kash koi Dekhy tujhy meri nazar se
nazarun se agar dur gaya hai tu kia hua
Dharkan ki tarha dil k paas buhat hai.../


Wo jo karta tha rat ki tariki mein mujse baat
Ussay meri tanhai ka ahsas buhat hai.../