Der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aaye to
Aas ne dil ka saath na chhoda waise ham ghabaraaye to
Shafaq, dhanak, mahtaab, ghataayen, taare, nagmeiN, bijali, phuul
Uss daman mein kya kya kuch hai vo daman haath mein aaye to
Chahat ke badle mein hum toh bech de apni marzi tak
koi
mile toh dil ka gahak, koi hamen apnaaye to
kyn ye mihr_angez tabassum madd-e-nazar jab kuch b nhi
haaye agar koi anjaan agar iss dhoke mein aa jaaye to
suni sunaai baat nahin hai apne upar beeti hai
phool nikalte hain sholoN se chahat aag lagaaye to
jhooth hai sab tareekh hamesha apne ko dohraati hai
achchha meraa khwab-e-jawani thoda sa doharaaye to
nadaani aur majbuuri mein yaaro kuch toh farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye to....