mere SMS Messages1493 messages

na kar inkaar a zalim mere pass ane se ..
khuda bhi roth jata hay kisi ka dil dukhane se
phool sitare dariya un aakhoN ke naam,
humne likhyeN hai kya kya un aankhoN naam...

jin aankhoN ne meri nindeN chhinii hai,
mera her ek sapna un aankhoN ke naam...

kuch bhi kaho lagta hai jaise baat adhuri ho,
sher kahe hai kya kya un aankhoN ke naam...

aaj se unke sare bandhaN mere hai,
aaj se har ek rishta un aankhoN ke naam...
kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja

woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay baras ghaee
dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja

main tou gum thaa teray dhiyaan main,tere aas main teray ghuman main
saba keh ghaee meray kaan main ,meray paas aa ussay bhool ja..

kisi ankh main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
tujhay zindaghee nai bhula diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja...

na woh ankh he tere ankh thee, na woh khawab he tera khawab thaa
dil-e-muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai

Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai

merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai
Mera Dil Agey Hi Toota Tha,Chalo Aik Darar Aur Sahi,Zakhmi Tha Jigar Pehley Se Hi,Kuch Khoon Ki Bondain Aur Sahi,Ankh To Thi Pehley Se Namm,Ashqoun Ki Barsaat Aur Sahi,Bohat Baar Girr Kar Sambhla Hoon,Chalo Aaj Aik Thokkar Aur Sahi,Khilona Samjh Kar Sabhne Khaila Hey,To Kia Howa, Aik Khail Aur Sahi,Aey merey Bewafa Dost,Tera Aik Waar Aur Sahi,Loh Aaj Ghum Ke Waseeh Afsaney Main,Meri Aik Tehreer Aur Sahi.
Hum ney khushboo ki terha gam bhi akathey dekhey hain.Safa zeast ko palto gi to yaad aaon ga.Isi andaaz main mukhatab hoey they mujsay.Khat kisi aour ko likho gi to yaad aon ga.Sard raton k mehaktey hoey sannaton main jab kisi phoool ko choomo gi to yaad aon ga.haadsey aaeyn gey jeewan main to tum ho k nidhaal.kisi dewaar ko thamo gi to yaad aaon ga.Shaaal pehnaey ga kon december main.Baarishon main kabhi bheego gi to yaad aaonga.iss main shamil hai mere bakht ki bhi tariiiki maqsoood.Tum syaah rung jo pehno gi to yaad aonga.
Dillagi Doston Ke Naam Hoti Hai,
Dildari Dosti Ki Shaan Hoti Hai,
Kahin Bhi Raho Par Rahoge Dil Me
mere Yehi Sachi Dosti Ki Pehchan Hoti Hai..
Kaha Main Nay Kahan Ho Tum?
Jawab Aya Jahan Ho Tum...

mere Jeevan Say Zaahir Ho
mere Gham Mein Nihaan Ho Tum....

Meri Tou Saari Duniya Ho
Mera Sara Jahan Ho Tum.......

Meri Sochon Ka Mehwar Ho
Mera Zor-e-Bayaan Ho Tum......

Main Hoon Lafz Muhabbat Hoon
Magar Meri Zuban Ho Tum...
Main Udaas Rasta Hoo Sham Ka

Mujhe Ahaton Kii Talash Hai

Ye Sitarey Sab Hain Bujhey Bujhey

Mujhe Jugnuon Ki Talash Hai

Wo Jo Ek Darya Tha Aag Ka

mere Raston Se Guzar Gaya

Mujhe Kab Se Rait K Shehar Me

Barishon Ki Talash Hai

Main Udaas Rasta Hoo Sham Ka
Tum Ager Mujh Ko Na Chaho To Koi Baat Nahi

Tum Kisi Aur Ko Chahoge, To Mushkil Hogi

Ab Ager Mele Nahi Hai To Judai Bhi Nahi

Baat Todi Bhi Nahi Tum Ne Banayi Bhi Nahi

Ye Sahara Bhi Buhat Hai Meray Jeenay K Liye

Tum Ager mere Nahi Ho, To Paraye Bhi Nahi

mere Dil Ko Na Saraaho, To Koi Baat Nahi

Ghair K Dil Ko Sarahoge, To Mushkil Hogi
Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki

Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chaalkh Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki

Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat merey Roo-ba-Roo Na Ki

KyuN Dil Mein Chuppaey Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki
Na inkaar na tha ikraar
Par hum karne lage tum se pyaar
Jaane kyun aur kab laga humein
Tum hi to ho mere dildaar




Rah pe chal rahe the hum saath saath
Tha hamare haathon mein aap ka haath
Humein kya pata tha ke zindagi mein
Yuhin saath chalne se nahi banti baat




Kitna pyaar hai hum ko aap se
Kitni zarurat hai hume aap ki
Batayen ge aap ko, karenge hum bayaan
Agar hui aap se, phir kabhi mulakat