kitna SMS Messages261 messages

AGar HuM DosT HoTaY To
KaRaM Ki InTehA KarTaY
TumhaiN PaLkoN PaY RakhTaY HuM
TumhaiN DiL MaiN BaSaTaY HuM

AGar TuM RooTh JaTaY To
TuMhain kitna ManaTaY HuM
Jo MiLnaY TuM Nahi AaTaY
To Aa Kar KhuD TumhaiN MilTaY


TumhaRi LaghZishoN Ko Bhi
HanSi MaiN HuM Ura DaiTaY
AGar Apni KhaTa HoTi
To KhuD Ko Bhi Saza DaiTaY


MaGar Yeh Sab Jabhi HoTa
AGar HuM DosT HoTaY
MaGar ITna Hi Jana HaI
K TuM NaY Aaj Tak HuM Ko


ParaYa Keh Kar Jana HaI
KaBhi HumDuM Naa Mana HaI
AGar HuM DosT HoTaY To.....
Kon Hai Suraj Kon Hai Saya Mai Bhi Socho''n Tu Bhi Soch
Kis Ne Pehle Haath Churaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch

Jis Ki Khatir Sahil Sahil Sipiyan Chunte Beet Gaye
Kyun Wo Moti Haath Na Aaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch

Kis Ko kitna Naam Mila Aur Kis Ko Kia Ilzaam Mila
Kis Ne Kis Ka Waqt Ganwaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch

Kis Ne Kitni Aas Bandhai Kis Ne Kitni Jaan Churaai
Kis Ne kitna Saath Nibhaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch

Hum Tou Ta''aluq K Bare Main Sochne Par Majbuur Huey
Jeevan Main Ye Din Kyun Aaya Main Bhi Socho''n Tu Bhi Soch
Piyar dhoondnay walo
matti ki moorat main
bholli bhaalli soorat main
piyar kesay milta hai
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay

roo rahi hai shehnaii
bheer main hai tanhaii
rooknay se ruktay hain
kab bhala yeh herjaii
rishtay kachay dhagay hain
yeh tu maan lo pehlay
yeh tu maan lo pehlay

benaam logon k
kitnay naam hotay hain
yeh bhi us ki qudrat k
kesay kaam hotay hain
kiun yeh aisay hota hai
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay

bewafa zamanay main
piyar dhoondnay walo
matti ki moorat main
bholi bhaali soorat main
piyar kesay milta hai yeh
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay
Mai ne seekha nai kitab0n se,
mai ne rabta rakha insan0n se,
kitna asan tha sawal krna,
ab jan jati hai jawabon se!
Tere Pyaar Mein Rusva Hona kitna Acha Lagta Hai,
Qadam Qadam Par Thokar Khana kitna Acha Lagta Hai

Roo Leta Hoon Hans Leta Hoon Tere Aane Jane Par,
Tera ghar Mein Aana Jana kitna Acha Lagta Hai

Main Apna Fasaana Khud Hi Kehta Sunta Rehta Hoon
Achi Yaadon Ka Duhrana kitna Acha Lagta Hai

Tere Hi Raste Par Chalna Teri Hi Manzil Ko Jana,
Tera Hi Har Dam Gun gana kitna Acha Lagta Hai

Jin Chashmon Ka Paani Dil Duniya Seerab Kare,
Un Chashmon Ka Paani Peena kitna Acha Lagta Hai

Sab Logon Ki Batein Sun na Aur Chup Rehna,
Us kai Khatir Har Dukh Sehna kitna Acha Lagta Hai

Yun To Duniya Mein Sab Batein Hoti Rehti Hain
Laikin Kuch Batoon Ka Hona kitna Acha Lagta Hai
anchi banker daal se urd gaya mera Bachpana

Zamana kitna badal gaya mai aaj bhi wahin pe hoon
Yaad banker aankh se behgaya mera Bachpana

Tha to mere sath hi na jaane kounsi ghadi
Zindagi ki bheerd mein Bichard gaya mera Bachpana

Na hotu us zalim se hamein mohabbat kabhi
Kash jo hota sath mere mera Bachpana

Dil na dhadka hota mera kabhi us ke liye
Ager jawani ka taaj pehna ker na jaata mera Bachpana

Kahan gayin wo rangeeniyan jo sath thi mere us umr mein
Wo lamhe youm hi sath hote jo sath hota mera Bachpana

Koi loutade mujhe mera bachpan kahaan gum hogaya woh
Kyoun is bheerd mein tanha mujhe chord gaya mera Bachapana
jab ghata koi toot kar barse
dil mera tere lams ko tarse

phir tera naam shaam tanhaii
sehmi sehmi hai dhadkane phir darr se

haal andaar ka bass khuda jane
kitna roshan hai diya bahar se
kitnay din beet gayay hain daikho to sahi
kitnay chiragh bujh gayay hain daikho to sahi

Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya
Khizaan ek bar phir agayee hai daikho to sahi

Kitni chahat say likhta thai mai naam tumhara
Wo qalam hi tordia hai zara daikho to sahi

Itni asaani say to milti nahi nafrat bhi lekin
Tumne hasil shuda piyar thukradia daikho to sahi

Haanton mai tum ne apnay chupayay thay moti bohat
Ab k zabt tutnay say saylab ravan hai daikho to sahi

Aana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
Kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi

Faqeer ban kar teray kuchay mai akar
Kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi
Yun Tu Ghum Sab Ki Zindagi Main Hai...
Zabt Lakin Kisi Kisi Main Hai...
Usne Ghazal Sun Kar Kaha Meri...
kitna Dukh Teri Shairiii Main Hai...
Main Tujhey Chaahta Nahin Leikin!!

Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin
Phir Bhi Jab Paas Tu Nahin Hoti
Khud Ko kitna Udaas Paata Hoon
Gham Say Apney Hawas Paata Hoon
Jaaney Kya Dhun Samaai Rehti Hai
Ikk Khamoshi Sii Chaai Rehti Hai
Khud Say Bhi Guftaguu Nahin Rehti
Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin
Phir Bhi Shab Ki Taweel Khalwat Mein
Tairey Awqaat Sochta Hoon
Kon Say Phool Tujh Ko Bhaatey Hain
Rang Kya Kya Pasand Aatey Hain
Kho Sa Jaata Hoon Tairi Samaat Mein
Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin
Phir Bhi Ehsaas Say Nijaat Nahin
Sochta Hoon To Ranj Hota Hai
Dil Ko Jaisey Koi Dabota Hai
Jiss Ko Itna Sarahta Hoon Main
Jiss Ko Iss Darja Chaahta Hoon Main
Uss Mein Teri Sii Koi Baat Nahin
Main Tujhey Chaahta Nahin Lekin!!!
Dil Ki Baat Zaban Tak Lana kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana kitna Mushkil Hai

Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Dor
Wapis Laut K Ghar Ko Jana kitna Mushkil Hai

Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apnay Zakham Logon Ko Dekhana kitna Mushkil Hai

Roz Muhj Say Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bachay Ko Samjhana kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Say Kehnay Walay Tum Hontoon Ko Sunanay Walay
Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana kitna Mushkil Hai
us nay door rahnay ka
mashwara bhi likkha hai
sath he muhabbat ka
wasta bhi likkha hai
us nay yah bhi likkha hai
meray ghar nahin aana
saaf saaf lafzon mein
raasta bhi likkha hai
kuch huroof likkhay hain
zabt ki naseehat mein
kuch huroof mein us nay
hosla bhi likkha hai
shukriya bhi likkha hai
dil say yaad karnay ka
dil say dil ka hai kitna
faasla bhi likkha hai