Tanha si zindzgi me tanha hai har rasta ,
dosto yaaro se jaise toota ho vasta,
sabhi hain saath par najane kiski kami hai,
itni
khushiyo me najane kaisi gami hai.
Kyo patjhad me sawan ka deedar karti hoon,
kyo har ghadi sirf tera intezaar karti hoon,
tu kaun hai kaha hai, is sab se anjaan hoon,
kya teri tarah ,main bhi tera armaan hoon.
Tu na aa ,magar aane ka vada to kar,
meri andheri zindagi me thoda ujala to kar,
teri aas me najane kab se nahi soi,
teri yaad me najane kitni raate roi,
ab apni
khushi se mera gam aadha to kar,
tu na aa magar aane ka vada to kar.............