khushi SMS Messages416 messages

BADSHAH ne apnay WAZEER ko 1 ANGOOTHI di Aur kaha k is par 1 aisa Sentence likho
jisko main agar khushi mein dekhon to ghamgeen ho jaoun. Aur agar gham mein dekhoun to khush ho jaoun.
Wazeer ne likha....

''YE WAQT GUZAR JAYE GA''...!!"

DEDICATED 2 PAKISTANI NATION !
Kisi ki dhadkan ke piche koi baat hoti hai...
har dard ke piche kisiki yaad hoti hai...
aap ko pata na hoga...
apki har khushi ke peche hamari faryaad hoti hai!
Yeh Ansoo

Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
Yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo ,
Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo,
Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo ,
Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo.... !!
Aap khafa hogaye tokoi khushi na rahegi,
aapke bina chirago me roshni na rahegi,
kya kahe kya guzregi dil par,
zinda to rahenge par zindagi narahegi.
Sitam to yai hai ...

Sitam to yai hai kai ham tum sai dil laga baithey
Apni khushiyoon ko bhi ham tum pai hi loota baithey
Sitam to yai hai....

Tujh ko chaha tha itna kai ham bata na sakkey
Teri chahat ko bhi dil mai ham chupa na sakkey
Sitam to yai hai....

Tum nai samjha na tha kaabil apney ham ko
Issliye tum mohabbat ko tum mitta baithey
Sitam to yai hai....

Bharrey Bazm mai jo tum nai mujh ko ruswa kiya
Iss ruswayee ko to ham wahi mitta baithey
Sitam to yai hai....

Meri waffa ka badla jo jaffa sai diya tum nai
Teri iss sitam ko bhi ham dil mai bassa baithey
Sitam to yai hai....
Wabasta hain suraj se kirne.
Chand se sitare.
Sahil se sumander.
Dareya se kinare.
Phool se khushbo.
Mazi se yadeen.
khushi se gham.
OR
Ap se hum..
mujh sey dur hone k baad
yaad aon ga main

har khushi rooth jane k baad
yaad aon ga main

apnu k rooth janey k baad
yaad aon ga main

moosam badalney k baad
yaad aon ga main

ab mujh sey saha nai jata
zindagi sey rooth janey k baad
yaad aon ga main
Jabse in hathon ko kisine thama hain,

zindagi jaise badal gayi.

Jis khushi ke liye hum tadapte rahen,

woh khushi aaj hamein mil gayi
Bachpan ke dukh bi kitne ache the,

tab to sirf khilone tuta karte the.

Wo khushiyan bi na jane kaise khushiyan thi,

titli ko pakad ke uchhla karte the.

Paoon maar ke khud barish ke pani mae,

apna aap bhigoya karte the.

Ab to ek aansu bi rusva kar jata hai,

bachpan mein to dil khol ke roya karte the.
MOHABBAT K SAARE RANG
RANGON K SAARE PHOOL
PHOOLON KI SAARI KHUSHBOO
KHUSHBOO K SAARE LAMHE
LAMHON KI SAARI CHAHAT
CHAHAT KI SAARI khushiYAAN
AAP K LIYE.
Sitaron ke bagher asmaan mein rakha hai kia?
Bin teray jeenay mein rakha hai kia?
Lagta hai sub kuch adhoora adhoora sa
khushi ke baghair hansnay mein rakha hai kia?

Uss k honton ka tabassum rahay qayaim “YA RUB”
Uss k jeevan main khushiyon ka basaira ker day…

Tu meri “KARB” ki raaton ko bhalay khatam na ker,
Uss ke her shaam k aakhir mai “SAWAIRA” ker day.

Uss k “DIL” k kisi konay main jaga day mujh ko…
Uss ki “AANKHON” ko meray sapnon say khaira ker day

Yeh meray dil ki dua hay “MERA MOLA SUN LAY”…
Saaaari duniya say chupa ker “USSAY MERA KER DAY”