khayal SMS Messages182 messages

Tez hawa ka johnka aaya Saath mai teri khushboo laya Tab ja kay mere dil ko khayal aaya Mera dost aaj bhi nahi nahaya.
Lab khamosh hain aankhon se baat hoti hai Aise hi mohabbat ki
shuruwat hoti hai ,,,...Tere hi khayalon me khoye rehte hai hum
Pata nahi kab din kab raat hoti hai....
Dil se tera khayal na jaye to kya karu?
tu hi bata teri yaad aaye to kya karu?
hasrat hai ki ek nazar tujhe dubara dekh lu
kismat woh lamha na laye to kya karu?
,,DAIRY KA EK PAGE,,

Kal tanhayi main jab
Apni dairy ko maine khola

Bohat se shair Dil ko lage
Bohat si shairi pe Dil dhuka

Ek aisa safa bhi is main aaya
Likha hua tha jo aanso''on se

Ke us ka unwaan Hamsafar tha
Woh safa sab se hi Moatber tha

Kuch aur aansoo phir is safe per tapke
Phir us se aage main parh na paaya

Apni Dairy ko bund karke
Uss ki yaadon main kho gaya main

Ke woh milti to kitna accha hota
In hi khayalon main sogaya main
Rishtay jo pyar ke thay sabhi choot-tay gaye...

Bandhan bhi saaray zabt ke phir toot-tay gaye...

Khawab-o-khayal ban gayen yaaron ki mehfilen...

Ek ek kar ke yaar sabhi rooth-tay gaye...

Sab dard dil main bhar liye sukh ki talash main...

Hamdard ban ke log hamain loot-tay gaye...

Milti rahin sazayen hamain pyar ke aiwaz...

Apni hi Khawahishon ka gala ghont-tay gaye...
khwab bankar aapke sapno me aayenge
khayal bankar yaado se guzar jayenge
palko ko band karke dil se yaad karna
tasveer bankar apki aankho me utar jayenge
Ehsaas use bhi hoga ek din apni jafa ka
rula dega use ek din khayal meri wafa ka
usne insaan sa sulook bhi na kiya mujhse
jis insaan ko maine darja diya khuda ka..Ehsaas use bhi hoga ek din apni jafa ka
rula dega use ek din khayal meri wafa ka
usne insaan sa sulook bhi na kiya mujhse
jis insaan ko maine darja diya khuda ka..
Door kahin meri nazro se rahti hai wo,

har lamha mere khayalo me rahti hai wo.

Kaisi hai wo, kis haal me hai wo,

dil ke mere har sawaal me rahti hai wo.
khayal ko kisi aahat ki aas rehti hai
nigah ko kisi surat ki pyas rehti hai
tere bina kisi chez ki kami to nahi
magar tere bina zindagi udas rehti hai
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
K zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein
Guzarnay pati tu shadab ho bhi sakti thi
Yeh teragi jo meri zeest ka muqadar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha k mein begana alm ho kar
Teray jamal ki ranaeon mein kho rehta
Tera gudaz badan teri neem baz ankhein
Inheen haseen fasanoon mein mehav ho rehta
Pukarteen mujhe jab talkhiyan zamanay ki
Teray labon say halawat k ghoont pee leta
Hayat cheekhati pherti barehna sir aur mein
Ghaneri zulfon k saya mein chhup k jee leta
Aaj uski yaad nay hamein tarpaya bohat
Aaj na chahte huway bhi woH yaad aya bohat
Us k bad tu jaisay vehshaton say dosti ho gae
Phir kyou aj tanhanion nay daraya bohat
Wo mera tha mera hai mera rahay ga
Hum naY iss khayal se khud ko behlaya bohat
Hum nay jis kisi ko bhi hamdard samjha apna
Wo hamary dukh pay na jaane kyou muskuraya bohat
Magar yeh ho na saka aur ab yeh alam hai
K tu nahi tera ghum teri justaju bhi nahi
Guzar rahi hai kuch es tarah say zindagi jaisay
Zamanay bhar k dukhon ko laga chukka hoon galay
Guzar raha hoon kuch anjani rahgawaron say
Muhayab saye meri simat bhartay atay hain
Hayat-o-maut k par hol kharzaron say
Na koi jada manzil na roshni ka charag
Bhatak rahi hai khalaon mein zindagi meri
Enheen khalaon mein reh jaoo ga kabhi kho kar
Mein janta hoon meri ham-nafas magar youn hee
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai