khayal SMS Messages182 messages

Nahi Fursat Yaqeen Mano
Hamein kuch Aur Karney Ki..



TERE khayalAAT..


TERI YAADEIN..


TERI BAATEIN..


Hamein Kasam se Bohat Masroof Rakhtein Hein...!!
Clas Mein Teachr Bachhun Ko Smgha Rhi Thien K ,

Kaise Asman Se Frishtey Aatey Hein Ar Ap Ko Chotey Chotey Behn Bhai Gift Krte Hein.

Clas Mein Bethey Huay Aik Bachey Ne Apne Dost Ki Trf Dekha Ar Bola

"Kia khayal Hai Madam

Ko Asal Bat Bta Na Di Jaey"...
Ager ek Kashti main
Musharaf
Nawaz Sharif
Chaudry Shujat
Aur Arbab Ghulam Rahim
Ja rahe hon n Achanak Kashti Doob jae
To aapke khayal main kaun bach jaega ??

.

.

.

.

.

Main bataun..

.

Pakistan!
Today''s Most Needed Thought

Jab Hamara Deen 1
Allah 1
Rasool (S.A.W)1
Quran 1
Kaa''ba 1
To Phir Ham Firka Paristi Ki Aag Main Q Jal Rahe Hay.
.Kuch Shar Pasand Log Hamare Shehar Aur Mulk Me Fasad Kar Wa Rhe He. Kb Tak Pathan, Muhajir, Sindhi, Balochi, Punjabi, Kashmiri, Saraiki Aur Dosri Cast Ki Waja Se Apas Me Nafrat Rakhe Ge...
Allah Ka Farman Hay Jisne Aek Insan Ki Jan Li To Osne Puri Insaniyat Ki Jan Li.
Plz Shar Pasand Anasir Se Bachye Aur Apna Aur Apne Azizo Ka khayal Rakhye.
Kajal si khamosh raaton mein bhi, Dil mein roshni jagmagane
lagti hai...Jab aap jaise pyara dost ka khayal aata hai,
Aur hole se dil kehta hai Good Night.Sweet Dreams....
hoo chuki hy raat ab soo bhe jaiye jo hy dil k kareeb un k khayaloon main kho jaiye kr raha hoo ga koi intezaar aap ka khuaboon main he sahe un sy mil to aaiye ... good night
Na jane tum par itna yakeen kyun ha.

Tera har ik khayal haseen kyun ha.

Kehte hein pyar ka dard metha hota ha

Phir ankh se nikla hoa ye aansu namkeen kyun ha
Bohut he mudat k baad kal jub kitab-e-maazi ko main ne khola, bohut se chehrey nazar mein utrey bohut se naamon pe dil piseeja,ik aesa safha bhi uss mein aaya, likha huwa tha jo aansuon se,k jis ka unwan Pyaar tha, ye safha sub se he moutaber tha, kuch or aansu phir uss pe tapkey,phir uss se aagey main parh na paya,kitab-e-mazi ko band kar k ussi ki yaadon mein kho gaya main,agar hum saath hote tu Kesa hota,inhe khayalon mein so gaya main.....!
Udass lamhon ka na koi malal rakhna,

Tufan mein bhi wajood Sambhal rakhna,

Kisi k liye shart-e-zindagi tum ho,

Kisi ki khatir hi apna khayal rakhna .!!
Kabhi is nagar tujhe dekhna
kabhi us nagar tujhe dhondna

kabhi raat bhar tujhe soochna
kabhi raat bhar tujhe dhondna

mujhe ja ba ja teri justujo
tujhe dhond-ta ho mein ko ba ko

kaha khul saka tere ro ba ro
mera is qadar tujhe dhondna

mera khawab tha k khayal tha
wo urooj tha k zawal tha

kabhi farsh pe tujhe dekhna
kabhi arsh pe tujhe dhondna

teri yaad aie to roo dia
jo tu mil gaya tujhe kho dia

mere silsily bhi ajeeb hain
tujhe chor kar tujhe dhondna
Aaj us ki yaad ne hamain tarpaya bohat,

aaj na chahtay howay bhi woh yaad aya bohat,

uss k baad tu jasay vehshaton se dosti ho gai,

phir kyon aaj tanhaiyon ne daraaya bohat,

woh mera tha,mera hai, mera rahay ga,

hum nay iss khayal se khud ko behlaya bohat,

hum ne jis kisi ko bhi humdard samjha apna,

woh hamare dukh pe na jaane kyon muskuraya bohat...
Ak Chand Tanhaa Khila Raha meray Aasman Se Zara Parey
Meray Saath Saath Safar Main Tha Meri Manzilon Se Zara Pary

Teri Justuju k Hisaar Say Tere Khawab, Tere khayal Se
Mai woh Shakhs tha Jo Khara Raha Teri Chahtoun Se Zara Parey

Kabhi Dil ki Baat Kahi Na thi, Jo Kahi Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Puray to Thay magar, Teri Sama''atoun Se Zara Parey

Tu Chala Gaya meray Humsafar Zara Dekh Murr kay Ek Nazar
Meri Kashtian hain Jali Houe Teray Sahilon Se Zara Parey