woh
khaloos tha
ke
khumar tha
woh janoon tha
ke saraab tha
mujhey sochney mein zaman laga
mujhey munzilon ne bhoola diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya
kai humsafar
kai rahguzr
mujhey rastey mein miley magar
meri tushnagi
kuch aur hai
meri justajoo
koi aur hai
woh jo roshni
ki tarha barhey
magar ansuon mei sama sa
key
jo subha
ki pehli
kiran bane
mere dil
ka aangan ni
khaar de
jo muhabbaton
ki ravaytein
laho
ki bali se sanwaar de
mujhey us wafa
ki talaash hai
mujhey us wafa
ki talaash hai
magar is jahan-e-
kharab mein
yahan
khahishon
ke saraab mei
mujhey
kaun de aisy wafa
mein
kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanon mein ghira hua
yehi sochta mein chala gya........;->