jigar SMS Messages28 messages

Light the Cigar With the Heat Of Liver ..Their is Alot of Fire in Liver ..
Nahi Samjhay?????
Lo Urdu main Parho …
Biri Jalayele jigar se Piyaa .. jigar maa bari Aag hai..
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta

Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai

Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta
Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker

Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta
Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar

Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen

Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai

Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta
jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi

Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta.
Meri Maut Hai Meri Hamsafar Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai
Meray Charo'n Tarrf Hai Jalwa Garr Teri Be Rukhi Bhi Ajeeb Hai

Mera Dard Hai Lab E Aashna Teri Ranjisho'n K Azaab Say
Meray Shair Hain Meray Chara Garr Meri Dil Lagi Bhi Ajeeb Hai

Jo Hai Ta'ana Zann Meri Zaat Par Mujhay Unsay Koi Gila Nahee'n
Mujhay Jaan Say Hain Azeez Tarr Meri Dosti Bhi Ajeeb Hai

Mai Lahoo jigar Say Guzar Kar, Tujhay Naql Karta Hoo'n Warq Warq
Hai Qalam Ki Nauk Say Mukhtasar Teri Aagahee Bhi Ajeeb Hai

Mai Peher Ki Tapti Hawao'n Say, Karhi Dhoop Mai Kharha Be Khabar
Saray Reh-Guzar Tera Muntazar, Meri Be Basi Bhi Ajeeb Hai
_..._
/''''''''''''\).(''''''''''''\
/ /| : |\ \
\ \| |/ /
''''''| |''''''
| |
| |
''''''''''''''''''''''''



Ye Lo Eid Ka Suit Meri Taraf Se.
Mehngai Bohat Hai.

Shalwar Agli Eid Pe Bhej Donga.

Ab Thanks Bol Kar Sharminda Mat Karna, Tu jigar Hai Apna.
28 November ko Tum "Dil"
Mango HUM Denge,

Tum "jigar" Mango
Wo Bhi Denge,

"Eyes" Mango
Wo Bhi Denge!

Q K

Us Din Humne

.

.
.

.

Cow Zibah Karni Hai. :-)
Happy Eid-ul-Azha.
Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
O mere Dil de chain,
tere piche kutte pain,
Tu lutya mera Dil da chain,
rab kare tenu kire pain,
Tere nain Bade nashele jiven jharu de tille.
Tu mere dil Vich edan vasa,
Jiven Chikad Vich Majj Fasi,
Jane jigar Jane Tamana,
Edhar aa terian Lattan bhana,
Jine mera Dil Lutya Ohnu Kutteian Nu mar Sutya.....
terii khushii se agar Gam meN bhii khushii na huii
voh zindagii to muhabbat kii zindagii na huii

koii baDhe na baDhe ham to jaan dete haiN
phair asii chashm-e-tavajjoh kabhii huii na huii

tamaam harf-o-hikaayat tamaam diida-o-dil
is ehtemaam pe bhii sharaH-e-aashiqii na huii

sabaa yah un se hamaaraa payaam kah denaa
gaye ho jab se yahaaN subah-o-shaam hii na huii

idhar se bhii hai sivaa kuchh udhar kii majbuurii
ki hamne aah to kii unse aah bhii na huii

khayaal-e-yaar salaamat tujhe khudaa rakhe
tere baGair kabhii ghar meN roshnii na huii

gaye the ham bhii jigar jalva-gaah-e-jaanaN meN
voh puuchhte hii rahe hamse baat hii na huii
"Phool Chunte Waqkt Kaanto Pe Bhi Nazar Rakhna
Muhobaat Mei Mom Ka Dil Aur Patthar Ka jigar Rakhna"
Mera Dil Agey Hi Toota Tha,Chalo Aik Darar Aur Sahi,Zakhmi Tha jigar Pehley Se Hi,Kuch Khoon Ki Bondain Aur Sahi,Ankh To Thi Pehley Se Namm,Ashqoun Ki Barsaat Aur Sahi,Bohat Baar Girr Kar Sambhla Hoon,Chalo Aaj Aik Thokkar Aur Sahi,Khilona Samjh Kar Sabhne Khaila Hey,To Kia Howa, Aik Khail Aur Sahi,Aey Merey Bewafa Dost,Tera Aik Waar Aur Sahi,Loh Aaj Ghum Ke Waseeh Afsaney Main,Meri Aik Tehreer Aur Sahi.
Hum safar ban key hum saath hain
aaj bhi
phir bhi hai ye safar ajanabi ajanabi

Raah bhi ajanabi mord bhi ajanabi
jayein ham kidhar ajanabi ajanabi

Zindagi ho gai hai sulagata safar
door tak aa rahaa hai dhuaan saa nazar

Jaane kis mord par kho gai har Khushii dey key dard-e-jigar ajanabi ajanabi

Hum ney chun chun ke tinke banaaya tha jo

aashiyaan hasaraton se sajaayaa tha jo

Hai chaman mein wahi aashiyaan aaj bhi lag raha hai magar ajanabi ajanabi

Kis ko maalom tha din ye bhi aayeinge mausamon ki tarhan dil bhi bada jaayeinge

Din hua ajanabi raat bhi ajanabi
har ghari har pahar ajanabi ajanabi
Takra hi gai meri nazar un ki nazar se
Dhona hi para hath mujhe qalb-o-jigar se

Izhar-e-mohabbat na kiya bas isi dar se
Aisa na ho gir ja un kahin un ki nazar se

Ai zauq-e-talab josh-e-junun ye to bata de
Jana hai kahan aur ham aye hain kidhar se

''Fayyaz'' ab aya hai junun josh pe apna
hansta hai zamana main guzarta hun jidhar se,,