jalta SMS Messages37 messages

Sabse alag sabse nayare ho aap
Tareef kabhi puri na ho itne pyare ho aap
aaj pata chala ki zamena q jalta hai humse
Qki dost to akhir hamre ho aap
tu nay mujh say poocha hay, kay mein kesay rehta hon
yeh jo jalta dard sa hay, kesay usko sehta hon
sham dhalay dehleez pay bethay, kya tujhko ab bhi sochta hon
jab yad bikharnay lagti hay
aur sans attuknay lagti hay
jab sooraj gumm ho jata hay
aur chand bhi jalnay lagta hay
tu khud say poochnay lagta hon
yeh mein kesay rehta hon, dard ko kesay sehta hon.
mein kuch easay rehta hon
AJ TU BESABAB UDASS HAI JII
ISHQ HOTA TU KOI BAAT B THI

jalta PHIRTA HOON DOPHARON MAI
JANE KIA CHEEZ KHO GAYE MERI

CHUPTA PHIRTA HAI ISHQ DUNYA SE
PEHLTI JA RAHI HAI RUSWAII

AAJ TU WO B KUCH KHAMOSH SA THA
MAI NE B IS SE KOI BAAT NA KI

AIK DUM IS KE HONT CHOOM LIE
YE MUJHE BETHE BETHE KIA SOOJHI

AIK DUM ISKA HATH CHORADIA
JANE KIA BAAT DARMIYAN AYEE

TU JO ITNA UDAAS HAI LATIF
TUJHE KIA HOGAYA BATA TU SAHI
tu nay mujh say poocha hay, kay mein kesay rehta hon
yeh jo jalta dard sa hay, kesay usko sehta hon
sham dhalay dehleez pay bethay, kya tujhko ab bhi sochta hon
jab yad bikharnay lagti hay
aur sans attuknay lagti hay
jab sooraj gumm ho jata hay
aur chand bhi jalnay lagta hay
tu khud say poochnay lagta hon
yeh mein kesay rehta hon, dard ko kesay sehta hon.
mein kuch easay rehta hon
Dhundla Rahey Hein Shehr K jaltay Howey Charagh, Aey Neend Aa Bhi Jaa, K Boht Raat Ho Chukki..!!
Kehtay hain barey fakhr say hum ghum nhn kartey
Matam ki sada suntay hyn matam nhn kartay
Woh log bhaala samjheyn gay kya raaz e shahadat
Jo eid to kartay hain muharrum nhn kartey
Kyun aap ka dil jalta hy kyun jalta hy seenaa
Hum aap k seenay par to matam nhn kartey
Aajiz yehi mashoor haqiaqat hy jahan me
Qatil kabhi maqtool ka matam nhn kartaay
jaltay Kyon Ho Ali a.s Kay Kamalaat Dekh Ker
iZZat Khuda Bhi Detaa Hay Auqaat Dekh Ker
Milti Jo Aesay WeSoon Ko Hilti Na ZulfiQaaar
TalWar Haq Nay Di Hay Magar Hath Dekh Ker
mein sahil pe likhi hui ebaarat nahein
jo lehroon sey mit jaati hai
mein baarish ki baarasti boond nahein
jo baras kar tham jati hai
mein khuaab nahein
jisey dekhaa aur bhula diya jaye
mein shama nahein
jisey phoonka aur bhuja diya jaye
mein hawa ka jhonka nahein
jo aya aur guzar gaya
mein chaand bhi nahein
jo raat k baad dhal jaata hai
mein to woh ehsaas hoon jo
tujh mein lahoo bun kar gardish karay
mein to woh rang hoon jo
teray dil par
chahray aur kabhi naa utray
mein to woh parwana hoon jo
jalta rahay aur fana naa hoga
khuaab, ibaaarat, hawak ki tarhaan
chaand, boond, shama ki tarhaan
meray mitnay ka sawaal hi nahein
KIYON K MEIN TO MOHABBAT HOON
AUR MOHABBAT KO KOI ZAWAAL NAhi
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne

Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,

Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne
Raat kat''ti rahi Chaand chalta raha,

Aatish-e-hijar main koi jalta raha,

Tanhaiyaan dil ko dasti raheen

koi bey chain karwatain badalta raha,

Aas o umeed ki shama roshan rahi

Ghar ki dehleez ko koi yon hi takta raha,

Raat bhar chaandni gungunaati rahi

Raat bhar koi tanha sisakta raha,
Aaj rothay huway sajan ko bohat yaad kiya
Apnay ujray huway gulshan ko bohat yaad kiya
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghera hai hamein
Gaisuay yaar ki uljhan ko bohat yaad kiya
Shama ki joot pey jaltay huway parwano nay
Ek teray shula-e-daman ko bohat yaad kiya
Jis k mathay pey nae subah ka jhoomar ho ga
Hum nay us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiya
Aaj totay huway seeno ki bohat yaad aei
Aaj beetay huway sawan ko bohat yaad kiya
Aaj sar-e-toor bhi mayoos-e-tajali hi rahi
Aaj daar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kiya
Mutmaen ho he gay dam-o-qafas mein sagar
Hum asseron nay nasheman ko bohat yaad kiya
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai

Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai

Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai