jalta SMS Messages37 messages

ik aag thi kay jaltay rahay jismain umar bhar,
ik dard tha kay jismain khayanat kabhi na ki!
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai
Mai Bujhe Giya Hoon~!~

Ik Diya Hoon

Taiz Hawaon Kai Jhonkon Sai
Bus Bujhe Giya Hoon

Mai Jalraha Tha Barsoon Sai
Nibbat Raha Tha Arsoon Sai

Ab Bujhe Giya Hoon
Haan Ik Diya Hoon

jalta Tha To Roshni Thi
Andhairoon Mai Ghir Giya Hoon

Mai Bujhe Giya Hoon
Ik Diya Hoon

Mujhe Sai Wabasta Saatoon Nai
Moon Mujhe Sai Moor Liya Hai

Mairay Andhairoon Ko
Mairay Sang Akaila Chor Diya Hai

Bus Abb Aandhion Ka Intizar Hai
Maira Abb Rahna Baikaar Hai

Mai Bujhe Giya Hoon

Haan Ik Diya Hoon
Maira Dil Bhi Shoq Say Toro Ek Tajurba Aur Sahi
Laakh Khilone Torr Chuke Ho Ek Khilona Aur Sahi


Raat Hai Gham Ki Aaj Bujha Do jalta Hua Har Ek Chiraag
Dil Mein Andhera Ho Hi Chuka Hai Ghar Mein Andhera Aur Sahi


Dam Hai Nikalta Aashiq Ka, Bheer Main Aa Kar Daikh To Lo
Laakh Tamaashe Daikhe Honge Ek Nazaara Aur Sahi


Khanjar Le Kar Sochte Kya Ho Qatl-e-Murad Bhi Kar Daalo
Daag Hain So Daaman Pe Tumhaare Ek Izaafa Aur Sahi
Raat Kat’ti Rahi Chaand Dhalta Raha
Aatish-e-Hijr Main Koi jalta Raha

Ghar Ki Tanhaiyan Dil Ko Dasti Rahi’n
Koi Bechain Karwat Badalta Raha

Aas-o-Umeed Ki Shama Roshan Rahi
Ghar Ki Dehleez Ko KOi Takta Raha

Raat Bhar Chaandni Gungunati Rahi
Raat Bhar Koi Tanha Sisakta Raha

Ashk Palo’n Pe Aa K Bikherte Rahe
Naam Lab Par Kisi Ka Larazta Raha

Aaj Phir Raat Basar o Hi Gayi
Aaj Phir Koi Khud Se Ulajhta Raha
Aaj rothay huway sajan ko bohat yaad kiya
Apnay ujray huway gulshan ko bohat yaad kiya
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghera hai hamein
Gaisuay yaar ki uljhan ko bohat yaad kiya
Shama ki joot pey jaltay huway parwano nay
Ek teray shula-e-daman ko bohat yaad kiya
Jis k mathay pey nae subah ka jhoomar ho ga
Hum nay us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiya
Aaj totay huway seeno ki bohat yaad aei
Aaj beetay huway sawan ko bohat yaad kiya
Aaj sar-e-toor bhi mayoos-e-tajali hi rahi
Aaj daar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kiya
Mutmaen ho he gay dam-o-qafas mein sagar
Hum asseron nay nasheman ko bohat yaad kiya
tum ho nazuk se ik tetly

aur main hon tery pyar main jalta hova parvana
BY ASIM ALI SHAM''
tery hansny se jalta ha zamana

ta aur zoor se hans muj ko be jala day
kuch iss qader bhi tu asaan nahin ishq tera
yeh zher dil main uter ker hi raas aata hai

main tuj ko pa k bhi khoya hua sa rehta hoon
kabhi kabhi tu mujay tu ne theek samja hai

mujay khaber he k kiya he judainyon ka aazab
k main nain shakh se gul ko bechirtay daikha hai

main muskura b para hoon tu kiyon khafa hain ye loog
k phool tooti tooti hoi kaber pe bhi khilta he

ussay ganwa k main zinda hoon iss tarha mohsin
k jaisay taiz hawa main charagh jalta hai
kya pochtay ho kaisa hu???

ek sard hawa ka jhonka hu..

hai meri rooh main bechaini..

mai apnay aap main uljha hu..

hai mera saaya aur koi...

main aur kisi ka saaya hu..

tu khush hai apni dunya main..

mai teri yaad main jalta hu..

abb lot k aa aur daikh mujhay...

ik umar say tanha tanhahu...
Kyun Chhup K Mohabbat Kartay Ho
Sang Chalnay Ka Dam Bhartay Ho

Jo Shikway Gilay Hain Keh Dalo
Kyun Bat Kehnay Say Dartay Ho

Usay Bhol Jao Jo Guzar Gaya
Kyun Khud Say Itna Lartay Ho

Mujhay Bhi Khud Main Shamil Karlo
Kyun Tanha Aag Main jaltay Ho

Be-Fikar Hojao Ye Jan Lo
Tum Meray Dil Main Bastay Ho
Main Usay Dill Say Piyar Karti Hoon Rang Jis Ka Hina Say Milta Hai.
Rangat Main Dilfarareb Hum Bhi Nahin LAKIN Saanwali Si Is Jori Say Zamana jalta Hai.