tu nay mujh say poocha hay, kay mein kesay rehta hon yeh jo jalta dard sa hay, kesay usko sehta hon sham dhalay dehleez pay bethay, kya tujhko ab bhi sochta hon jab yad bikharnay lagti hay aur sans attuknay lagti hay jab sooraj gumm ho jata hay aur chand bhi jalnay lagta hay tu khud say poochnay lagta hon yeh mein kesay rehta hon, dard ko kesay sehta hon. mein kuch easay rehta hon
Ankhe kyon hui meri num kabhi
sochna,
kyon hua hum pe itna sitam kabhi
sochna,
pyar to hum dono ne kiya tha,
lekin sirf mujhe he kyon mila itna gum kabhi sochna.