jaan SMS Messages703 messages

~*~ Phir Yaad Aane Lage ~*~



Muddato''n Baad Dekha Unhai''n,
Hosh Kaise Thikaane Lage

Ashk Palko''n Pe Aaye Meri
Aur Lab Thar-tharane Lage

jaane Ksei Hawa Chali
Phool Phir Muskurane Lage

Jin Ko Mushkil Se Bhoolay Thay Hum
Phir Wohi Yaad Aane Lage
Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaye ga

Itna manoos na ho hilwat-e-ghum sey apni
Tu kabhi khud ko bhi dheikhey ga tu dar jaye ga

Tum sar-e-rah-e-wafa dheikhtye reh jao gey
Or wo baagh-e-rafaqat sey uttar jaye ga

Zindgi teri atta hai tu ye jaaney wala
Teri bukhshish ko teri dehleez per rakh jaye ga

Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga
"Kabhi dil jala kabhi jaan bhe
Kabhi kho gaye muskan bhe
Me apno ka kabil nahi raha
Ya jantay ha anjan bhe
Meray sath aksar rahtay hay
Katil meray mehman bhe
Dharte per zulam dakh kar
Roota ha asman bhe
WO badal gaya Kuda sa jo
Farishta tha bana shaytan bhe
bas zara zara se ranjishay
na bhola saka insan bhe
Roti Hoi Aankhon Se Tujhe Muskan Kese Doon

Anjaan Hoon Khud Se Tujhe Pechaan Kese Doon

Tu Hi To He Jan Meri...

Tu He Bata Tujhe Apni jaan Kese Doon . . . ;->
Itna aasaan nahin mujhko bhulaana tujhko
ek shiddat hai kasak hai ya koi wahshat hai
kuch mareeze dile jaanan ko bhi chan aa jaata
jhooth hi bol magar bol ki ye ulfat hai
Log kahte hain khudaya kya muhobbat hai
mujhko maloom hai teri to yahi aadat hai
Meri manzil hai kahin aur tujhe ye khabar to ho, -
Raah men pada koi ab tum pathhar to na ho, -
Tu jaan le iss baat ko ab achhi tarah, -
Izhaar mujhse karne ka koi dil men waham na ho. -
Bharam Rakh Lo Mohabbat Ka

Wafa Ki Shaan Ban Jao

Kisi Pe jaan De Do

Ya Kisi Ki jaan Ban jao

Tumhare Naam Se Pukarenge

Mjh Ko Jahan Wale

Main ban Jaon Fasana

Tum Unwan Ban Jao
main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay
usay samajhnay ka koi to silsila nikalay

kitab-e-maazi ke auraaq ulat kay dekh zara
na jaanay kaun sa safah mura hua nikalay

jo dekhanay main bahut hi qareb lagata hai
usi kay baray main socho to fasala nikalay
Nazar Se Ishq Ki Jab Roshni c Chanti Hy

Zameen Dil Ki Tamanna K Phool Janti Hy

Kisi Ko Pyar Main Asaan Hai jaan Keh Dena

Nibhate Waqt Magar jaan Par Hii Banti Hy
Yai dua Hai mery abh na ho dedaar tera
abh na tery tarap na ho intezar tera
hun tu mein wohee aur wohee piyar mera
par ay jaan-e-man abh nahin etibaar tera
kiyon aagaeen duriyan humaray darmiyan
mein ay humnasheen kiya hai, qasoor mera?
zism naam matra hai us par jaan tum ho
mein kuch bhi nahi meri pehchaan tum ho
jee chahta hai aaj har cheez luta du
kuch kami hi nahi jab meri shaan tum ho
Ye kis ny hamen shemi hue fiza men pukara,
Ye kis ne awaz di k awo "UDAS LOOGO",
Ye jaan gawane ki rut yoonhi raegan na jae,
Sar-e-bazar koi sar sajawo "UDAS LOOGO",
Eski bat sy hi tabeit sanbhl sky gi,
Kahen sy Waqas ko dhund lawo "UDAS LOOGO"!