hijr SMS Messages62 messages

Tere hijra''n Sy
Ta''aluq Nibhane K Liye

HumNy is Saal Bhi
Jeenay Ki Kasam Khai Hy ...
Tere hijra''n Sy
Ta''aluq Nibhane K Liye

HumNy is Saal Bhi
Jeenay Ki Kasam Khai Hy ...
Ya Rab Gham-e-hijraan Mein
Itna Tou Kia Hota

Jo Haath Jigar Par Hy
Wo Dast-e-Dua Hota

Umeed Tou Ban Jati
Taskeen Tou Ho Jati

Wada Na Wafa Karty
Wada Tou Kia Hota
IK Pashemaa''n See Hasraat Se Mujhy Sochti Hy,,

Ab Wohi Larki Mohabbat Se Mujhy Sochti Hy..


Main Tu Mehdood Lamhoon Me Milla Tha Us Se,,

Phir Bhi Wo Kitni Wazahat Se Mujhy Sochti Hy..


Jis Ne Socha He Na Tha hijr Ka Momkin Hona,,

Dukh Me Dobee Hoi Herat Se Mujhy Sochti Hy..


Main Tu Mar Jaoon Agar Sochne Lag Jaoon Usy,,

Aur Wo Kitni Sahollat Se Mujhy Sochti Hy..


Grche Ab Trk-e-Mrasim Ko Bohat Deir Hoi,,

Ab Bhi Wo Mere Ijazat Se Mujhy Sochti Hy..
Darr-e-qafas sy paray jab saba guzarti hy

Kisay khabar k aseeron py kya guzarti hy

Taeluqaat kbhi es qadar na tootay thay

K teri yad b dil se ghafa guzarti hy

Wo ab milay b to milta hy es tarah jaisy

Bujhay charaghon ko chhoo kar hawa guzarti hy

Ye ehl-e hijr ki basti hy ehtiyaat se chal

Musebaton ki yahan inteha guzarti hy

Na poochh apni anaa ki baghawtain MOHSIN

Darr-e qubool se bach kr dua guzarti hy...\
Mey apni Zaat chor aya hun,
hijr ki raat choor aya hun.
Chala aya hun us ki mehfil sey,

Kuch Shikayaat choor aya hunn.
Ki teri Baat ki qadardani,
Mey apni baat choor aya hun.

Rukhsat ho ker mein fani dunya sey,
Sub kharafat choor aya hun.
Ek asasa thay yey mera

Dil kay jazbaat choor aya hun.
Sochtey rehnay ki aadat hogayi
chaunktey rehnay ki aadat hogayi

hijr ki raatoun k sung aankhoun ko bhi
jaagtey rehnay ki aadat hogayi

jaaney kia dur hayk apnay aap say
bhaagtey rehnay ki aadat hogayi

woh nahin lautey gaa phir kiyoon rehguzaar
daikhtey rehnay ki aadat hogayi

woh meray andar chupa hay or usay
boltey rehnay ki aadat hogayi~!
kya mila muhbt se?
khawab ki musafat se
wasl ki tamazt se
roz.o.shb riazt se

kiya mila muhbt se?

aik hijr ka sehra
aik shaam yadon ki
aik thaka hua aansu...
ye dil ka parinda bhi ajab shey he keh jisne,

Pyasa bhi raha dasht se hijrat bhi nahen ki.
Apny Ghar Ka
Aik hi Rasta...
Dhoop K teelay
Rait Ka Daryaa,,,
Dewaaron per
Aas Ki Bailein
Sahen K ander
hijr Ka Poda,,,
Har Kamray Mein
Uss Ki Yaadein...
Sab Chezon mein
Uss Ka Chehra
Tumhein paana, Tumhein khona Tumharey hijr mein rona,


Yehi gar ishq hai "ZOHRA"
To hum tanha hi ache hain.
Ramazan Mubarak Ho!

* Roza 10 Shaban, 2 hijri Ko Farz Hua
* Rozay Ki Farziat Ka Hukm Sorah Baqarah, Ayat 183,184 Me Hua.
Shama-E-Hidayt