dil SMS Messages2810 messages

dilo me aarzu ke diye jalate rahenge,
Aankhon se aansu nikalte rahenge.
Tum shama bankar dil me roshni to karo,
Hum mom bankar uhee pighalte rahenge....
Sapne saare tod kar beithe hai
dil ka armaan chod kar beithe hai
na kijiye humse wafa ki baatein
abhi-abhi dil ke tukde jod kar beithe hai
mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta
dil ke dard ko dil torne wale kya jana,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni takliff kabar ke niche,
Yeh upar se phool charane wale kya jane.
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samander nahi dekha,
yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine,
unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
Ye dosti chirag hai isey jalaye rakhna,
Ye dosti gul hai isey khilaye rakhna,
Hum rahey na rahey is jahan mein,
Bas hamari yaad dil me basaye rakhna.....
Apno se juda ho kar, kaun zinda rahta hai,
Sanse chalti hain magar dil,
Hamesha zindagi se khafa rahta hai,
Jo dil mein ho wo dost,
Durr ho kar bhi kareeb hote hain,
Mere yaar insaan umeedon par hi zinda rahta hai.
DOSTI TO SIRF ITTEFAQ HAI,
YEH TO dilON KI MULAKAAT HAI,
DOSTI NAHIN DEKHTI YEH DIN HAI KE RAAT HAI,
ISME TO SIRF WAFADAARI AUR JAZBAAT HA
Jo khayal thay na qayas thay wohi log hum se bichar gay
Meri zindagi ki jo aas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein manta he nahi yeh dil wohi log hain mere humsafar
Mujhay har tarah say jo raas thay wohi log hum se bichar gay
Mujhay lamha bhar ki rafaqaton k azab or sataen gay
Jo meri umar bhar ki payas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh khayal saray hain arazi yeh gulab saray hain kaghazi
Gul-e-arzoo ki jo baas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein kar saka na qabool mein wohi shareek-e-rah-e-safar huway
Jo meri talab meri aas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh raat din meray sath hain wohi ajnabi k ajnabi
Who jo dharkano ki assas thay wohi log hum se bichar gay
sab jaan ke bhi mujhse vo bhulaya na gaya
uske diye pyar ka koi bhi nishaan mitaya na gaya
chaha bahut maine ki dafan kar dun uski sab yaadein
vo tuti hui chudi vo barsaat ki raatein,
vo aaine pe lipstick ka nishan vo mahobaat ki baatein
mujhse mere hi dil pe ye sitam dhaya na gaya
koi yaad uski or apni hateli se uska naam mitaya na gaya
WO dil KI BATIAN ZAMANAY BHAR KO NA YON SUNATA .. MUJAA BATAATA
WO EK DAFA TU MARI MUHABAT KO AZMATA .. MUJAA BATATA

ZUBAN-E-KHALKAT SA JANAY KIA KIA .. WO MUJ KO BAWAR KARA RAHA HAI
AIK DAFA TU ANNA KI DEWAR GIRATA .. MUJAA BATATA

ZAMANAY WALON KO KIA PARI K SUNAIN HAL-E-dil SHAKASTAH...
MARI TU ARZO THI.. MUJAA BULATAH.. MUJAA BATATA

MUJAA KHABAR HAI ANDAIRAY USAY CHUPKAY CHUPKAY NIGAL RAHAY HAIN
MAIN US KI RAHON MAIN APNAY dil KA DIYA JALATAH .. MUJAA BATATA

SITAM KIA HAI MUNEER .. K US NA SHAHAR CHORA HAI KHAMOSHI SA
MAIN US KI KHATIR YA SARI DUNYA BI CHOR JATA .. MUJAA BATATA
............BHULAYA NA JAA SAKA............
Palkon pe aanso''on ko sajaya na jaa saka../
us ko bhi dil ka haal bataya na jaa saka../
zakhmon se choor choor tha yeh dil mera../
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka../
jab teri yaad aayi to koshish ke bawajood../
aankhon main aanso''on ko chupaya na jaa saka../
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain../
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka../
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho../
hum se to haal-e-gum bhi sunaya na jaa saka../
woh muskura raha tha mere ru-ba-ru magar../
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka../
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye../
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka../