dil SMS Messages2810 messages

Na rahi aaj wo apni kahani, Na wo hasin din na wo raatein suhani, Phir
bhi hume aziz hai unki har nishaani, Chahe dil ka wo dard ho ya aankho ka
paani...
mohabbat ke raaz hum tumhe bataayen kya

zakhm hi zakhm hain dil dikhaayen kya



hai khel zindagi ka taqdeeron ke haath mein

jo hona hai so hona hai ghabraayen kya...?



utthaa rahe hain tere dar se mujhko log

tum kaho to duniya se utth jaayen kya....?



unka shahar hai unke log unhi ki mehfil

yaa.n kisi ko apni dastaan sunaayen kya
dil kitna majboor hai,

aankho se neend door hai.

Jis se milna chahte hai hum

wo humse koso door hai.

Aye hawa ye to bata

kya meri tarah wo bhi majboor hai?
Na to yaado ko yaad rakhte hain,

Na hi sapno ko saath rakhte hain.

Ham to bus unko yaad rakhte hain,

Jo hame dil ke paas rakhte hain
dil ko aata hai jab bhi khayaal unka,

Tasveer se poochte hain phir haal unka.

Vo kabhi hamse poocha karte the judaai kya hai,

Aaj samajh aaya hai sawaal unka.
Jab kuch sapne adhure reh jaate hai,

tab dil ke dard aasu banke beh jate hai.

Jo kabhi kehte the ki hum sirf aapke hai,

pata nahi wo kese alvida keh jate hai.
Ankhoon may kayi sapnay saja kar roye bohot hai hum.
dil ko nayi dunya dikha kar kar roye bohot hai hum.

woh badal gaya to pher li hum nay bhi nazar apni.
par us kay khatoon ko jala kar kar roye bohot hai hum.

laut aye to ahin us ki mehfil say bacha kar ana apni.
par us ki bazm say a kar kar roye bohot hai hum.

jisay kia tha roshan tamanhaon say hum nay apni.
us shamy wafa ka bhuja kar kar roye bohot hai hum.

jin kay saye mai ki thin hum nay kayin batain.
un baghoon mai tanha ja kar kar roye bohot hai hum.

kis qadar khoshi say kia hum dum ko rukhsat hum nay.
magar sab say nazar bacha kay kar roye bohot hai hum.
Khel kar yun ungaliyon se baalon me,

Aur uljhaao na sawaalon main.

Padhne waale to padh hi lete hain,

dil ki sab daastan rumaalon main.

Gar haqikat main na hue haasil,

Milne aaoge naa khayaalon me?
Lehre kinare se aa kar palat jati hai
aapki yaad dil me aakar simat jati hai
farak sirf itna hai,
lehre bewaqt aati hai aapki yaad har waqt aati hai
Door ho gaye par bhulaya nahi hai..
Ehsaash tere hone ka abhi dil se mitaya nahi hai..
Jis din se gaye ho mujhe tanha kar ke..
Teri kasam .. maine theek se muskuraya nahi hai..
yadon mein kabhee aap bhi khoyae hongae,
khulee ankon se kabhee aap bhi soyae hongae,
mana hasna hai aadath gum chupanae ki,
par haste-haste kabhee aap bhi royae hongae!!!

dard kafi hai bekudhe ke liye,
maut zaroori hai zindagi ke liye,
kaun marta hai kisi ke liyae
hum to zinda hai sirf aap jaise dosto ke liye!!

faslae mita kar aapas mein pyar rakhnaa
dosti ka yeh ristha humesha yun hi barkaraar rakhna
bichad jaye kabhi aap se hum
anakho mein humesha humara intezaar rakhna!!

ek pathar kafi hai sisha thodnae ke liye
ek baath kafi hai dil thodnae ke liye
aur ek dost kafi hai zindagi jee lene ke liye!!

kuch nasha apki baton ka hai,
kuch nasha dheemi barsat ka hai,
hamne aap yunhi sharabi math kahiyae
yeh dil par asar apkae mulaqat ka hai!!
Kuch shikayatein baaki hai dil mein,
dil tootne ke is haadsat ke baad,
Khabar teri yun aati rehti hai har dum,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Charcha hota rehta hai deewano ka yahan,
Har jaan ek jist jaise nazar aati hai,
Baithe baithe koi surat yaad aati hai mujhe,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Khamoshi mein aahat gunjti hai kanon mein,
Jaise bula rahi ho dekar mujhe awaz,
Achanak log kyun daudne lagte hai,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Naaz hai kyun mujhe apni mohabbat par itna,
Ke yeh dil tujhe chahne ki zid par hai,
Khwaab har pal toote nazar aate hai,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...