dil SMS Messages2810 messages

Pyaar Se Pyaari Koi

Pyaar Se Pyaari Koi Majburi Nahi Hoti,
Kami Apno Ki Kabhi Puri Nahi Hoti,
dilon Ka Juda Hona Ek Alag Baat Hai,
Nazro Se Door Hona Koi Doori Nahi Hoti.
Kisi Ke Deedar Ko

Kisi Ke Deedar Ko Tarasta Hai,
Kisi Ke Intezaar Me Tadapta Hai,
Yeh dil Bhi Ajeeb Cheez Hai,
Jo Hota Hai Khud Ka Magar Kisi Aur Ke Liye Dhadakta Hai.
Bhoolne ki Adat Hai

Chalo Ishq nahi, Chaahne ki Adat hai
Kya karein ke Hamein Dusre ki Adat hai
Tu apne Sheesha-Gari ka na kar Hunar Zyada
Main Aaina hoon, Mujhe Tootne ki Adat hai
Wisal mein bhi wohi Faasle Sharab ke hain
Ke Usko Neend, Mujh ko Rat-Jagne ki Adat hai
Tera Naseeb hai Ae dil Sada ki Mehroomi
Na Wo Saki hai, na Tujhe Maangne ki Adat hai
Ye Khud Aa Jati kab tak
Tu bhi usse na kar Yaad, Jise Bhoolne ki Adat hai.
Nazre Jhuki to Paimane bane,
dil tute to Maikhane bane,
Kuch to zaroor khas hai aap mein..
Hum yoon hi nahi aapke Diwane Bane
Jab Aapka Naam Zaban Par Aata Hai,
Pata Nahi dil Kyo Muskurata Hai.

Tasalli Hoti Hai Mann Ko Koi To Hai Apna
Jo Haste Hue har waqt Yaad Aata Hai

Written By Piprani
Door kahin meri nazro se rahti hai wo,

har lamha mere khayalo me rahti hai wo.

Kaisi hai wo, kis haal me hai wo,

dil ke mere har sawaal me rahti hai wo.
Yaad karne ke liye koi cheez chaiye,
Aap nahi to aapki tasvir chaiye.
Par tasvir aapki hamara dil behla na sakegi,
Kyonki yeh aapki tarah muskura na sakegi
Tod diya dil humara unhone kitne baar,

aur Humne joda use baar baar,

Unhone kaha tuta dil kis kaam ka,

humne kaha zara dekho gaur se,

isme hai chehra sirf aap ka.
Jaanta hu ke bewafa hain who,
Fir bhi dil ke haatho fareb khata hu.
Roz kehta hu ki bhool jaaunga usko,
Roz isi baat ko bhool jaata hu.
Zubaan se tumhe keh nahi sakte
Isliye hmesha khuda se Fariyaad karte hai
Jab bhi tumhara dil jor se dhadke
Samajh Lena hum tumhe
dil se yaad karte hai.
Bachpan ke dukh bi kitne ache the,

tab to sirf khilone tuta karte the.

Wo khushiyan bi na jane kaise khushiyan thi,

titli ko pakad ke uchhla karte the.

Paoon maar ke khud barish ke pani mae,

apna aap bhigoya karte the.

Ab to ek aansu bi rusva kar jata hai,

bachpan mein to dil khol ke roya karte the.
Jab Koi Kalaam Kisi K dil Mein utar Jaata Hai
Sach Kehta Hoon Likhne Wale Ka josh Nikhar Jaata Hai
Lagta Hai Kuchh To Hai Maayne dil K Ehsaason K
Har Alfaaz Kagaz Par Khud Sawar Jaata Hai