dil Ki Baat SMS Messages39 messages

Kabhi jo maazi main jhankoge
tumhain hum yaad aayenge,

kisi lamhe kuch jo sochoge
tumhain hum yaad aayenge ,

kabhi yun hi akele main
beet-e-dino ko soch ker

koi geet jo gungunaoge
tumhain hum yaad aayenge,

sab doston ki mehfil main
kisi shokh si baat per

zer-e-lab jo muskuraoge
tumhain hum yaad aayenge,
,
zindagi ke kisi morr per
apne dil Ki Baat ko

kisi se keh na paoge
tumhain hum yaad aayenge. ...!!!
Ye dil Ki Baat Nahi Kisi kO Batane Ki

Azal Se hi reet Hai Jug Se Isay Chupaane Ki

Bohat Sehel Hai Wada Wafa Ka Ker Lena

Zara C Daal Lo Aadat Isay Nibhane Ki

Samait Sakte ho Jeet Kab Apni Muthi Main

Humain Tou Pehle Hi Aadat Hai Haar Jane Ki

Humain Khanar Thi kisi Roz Chorh Jao Ge

Nahi Hai Zarurat Tum Ko Kisi Bahane Ki
Tu Ne Wafa Ki Khaas Koi Guftugu Na Ki

Aur Maine Bhi dil Ki Baat Tere Rubaroo Na Ki

Tu Bhi Tamam Umar Dhoondta Raha Mujhe

Maine Bhi Tere Baad Koi Justuju Na Ki
Barish Ka Ye Mousam Kuch Yaad Dilata Hai
Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai

Fiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hai
Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai

Bheegi Hoye Raatain Khamosh Si Baatain
Aisay Main Kuch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata Hai

Barsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai Khushbo
Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai

Aisay Main Tum Bhi Keh Do dil Ki Baat
Ye Mousam Tu Pal Bhar Main Beet Jata Hai
pyaar kay deep jalaney walay kuch kuch pagal hotay hain
apni jaan sey janey walay kuch kuch pagal hotay hain
hijr kay gheray zakhm milay to mujhko ehsaas hua
pagal ko samjhney walay kuch kuch pagal hotay hain
jaan sey piyarey logo sey bhi kuch kuch pardah lazmi hai
sary baatein bataney walay kuch kuch pagal hotay hain
is kay ishq mein bheeg kay humko yeh ehsas hua
dil Ki Baat mein anay walay kuch kuch pagal hotay hainn
Pyar K Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Apni Jaan Se Jane Waale Kuch Kuch Pagal Hote Hian

Hijr K Gehre Zakhm Miley Tou Mujh Ko Ye Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain

Jaan Se Pyare Logo''n Se Bhi Kuch Kuch Parda Lazim Hai
Saari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain

Us K Ishq Main Bheeg K Hum Ko Ye Ehsaas Hua
dil Ki Baat Main Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hain
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil Ki Baat, kehney do

Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar gaye auroon kay liye ham yaara
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do....
dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai

Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Dor
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai

Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apnay Zakham Logon Ko Dekhana Kitna Mushkil Hai

Roz Muhj Say Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bachay Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Say Kehnay Walay Tum Hontoon Ko Sunanay Walay
Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai
Ik chand tanha khara raha
Mere aasamn se zara parey

Mere saath saath safr mein tha
Meri manzilon se zara parey

Teri justju k hisar se
Tere khawab Tere khayal se
Mai wo shaks tha jo khara raha
Teri chahton se zara parey

Kabhi dil Ki Baat kahi na thi
Jo kahi to wo bhi dabi dabi
Mere lafz poorey to thay magr
teri sma`aton se zara parey

Tu chala gya mere hamsafr
Zara dekh murr k to ik nazar
Meri kishtiyan hain jali hoi
Tere sahilon se zara parey
dil Ki Baat keh pana hai mushkil,

jisko chahte hai use pana hai mushkil.

Waqt k hatho mujbur hai kuch is kadr,

unhe batana aur khud ko samjhana hai mushkil!
Kisi lamhe kuch jo sochoge

Tumhain hum yaad aayenge

Kabhi yun hi akele main

beet-e- dino ko soch ker

Koi geet jo gungunaoge

Tumhain hum yaad aayenge

Sab doston ki mehfil main

Kisi shokh si baat per

zer-e-lab jo muskuraoge

Tumhain hum yaad aayenge

Zindagi ke kisi morr per

Apne dil Ki Baat ko

Kisi se keh na paoge

Tumhain hum yaad aayenge
dil Ki Baatein Bata Deti Hain, Aankhein
Dharkano Ko Jaga Deti Hain, Aankhein

Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehraun Ka Kabhi
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hain, Aankhein

Woh Hum Se Baat Nahi Karte, To Na Karein
Haal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain, Aankhein

Gham Sada Rehta Nahi, Aadmi Ke Saath
Ashk Bana Kar Chalka Deti Hain, Aankhein

Aata Hai Jab Dor-E-Jawani, To Ae-Dosto
Sunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain, Aankhein

Mana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste
Magar Kabhi Kabaar Neend Bhi Uraa Deti Hain, Aankhein

Shukar Hai Rab Ne Ata Ki, Aankhon Ki Neamat
Humaare Dard-O-Gham Saare Dil Ke, Chupa Deti Hain Aankhein