koch kehnai ka waqt nahi hai koch na kaho khamoosh raho
ai logo khamoosh raho haan ai loogo khamoosh raho
sach acha, par is kai jalo main, zehr ka aik piyala bhi
pagal hu, kiyoon nahaq ko "suqraat" banoo, khamoosh raho
haq acha par is kai liya koi aur marai tu aur acha hai
tum bhi ki "mansoor" hu jo soli pai charhoo, khamosh raho
un ka yeh kehna soraj hi dharti kai phairai karta hai
sar ankhoon par, sooraj hi ko ghomnai do, khamoosh raho
majlis main kooch habs hai aur zanjeer ka ahan chubhta hai
phir soocho, haan hir soocho, haan phir soo
choo, khamoosh raho
garm ansoo aur thandi anhain, man main kiya kiya mausam hain
is baghya kai bhaid na kholoo, sair karoo , khamoosh raho