charagh SMS Messages21 messages

Dhundla Rahey Hein Shehr K Jaltay Howey charagh, Aey Neend Aa Bhi Jaa, K Boht Raat Ho Chukki..!!
shaheed mertey nahi aur Hussain jesey shaheed......
hum is yaqeen ko haq aagahi samajhte hain......
hamari palkon per aanson nahi charaghan hain....
ghame Hussain ko hum roshniii samajhte hain...........
wo charagh-e-jaan k jis ki low,,,na kisi toofan se kam hui...

teri bewafai k wasvasay usay chupkay chupkay bhuja gae...!
tum ik charagh ki khairat de rahe ho mujhe.

main aftab se daman churra k aya hoon.
Apne ehsas kay sab rang uttar janay do
Meri umeed meray khawab bikhar janay do...

Apne angan main charaghon ko jalao na abi,
Meray angan main siya raat utar janay do...

Bari mushkil se mila hai muje mere ghar ka pata
Rassto ab na uljhao muje gher janay do...

Jin kay aane ka bohat shor phaila tha her soo,
Inhi lamhon ko chup chap guzar janay do...

Meri berbadi ka ilzam na aye kahin tum per,
Meray halat ko khuch or bigar janay do...
TAIRE HOTE HOWE MAHFEL MAIN JALATAY HAIN charagh....
LOOG KIA SAADA HAIN SOORAJ KO DEKHATAY HAIN charagh
Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra’on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs

Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs

Muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs

Muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs

Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Aik Shakhs

Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs
KIS KO SUNAOON HAAL DIL-E-BEQARAR KA
BUJHTA HUA charagh HUN APNE MAZAR KA
AE KAASH BHOOL JAON MAGAR BHOOLTA NAHI
KIS DHOOM SE UTHA THA JANAZA PYAR KA
meri rooh main jo uter sekain woh mohabbatin mujhay chahiyain
jo saraab hoon na aazab hoon woh rafaqatain mujhay chahiyain


inhain saetoon ki talash hay jo calenderoon say uter gain
jo samay k sath guzar gain wohi fursatain mujhay chahiyain


kahin mil sekain to samait la meray roz-o-shab ki kahaniyan
jo ghabaar waqt main chup gain woh hiqayatain mujhay chahiyain


jo meri shaboon ka charagh thay jo meri umeed k baagh thay
wohi log hain meri arazo wohi souratain mujhay chahiyain


teri qerbatain nahi chahiayin meri shairy k mizaaj ko
mujhay fasaloon say doaam day teri ferqatain mujhay chahiyain
kuch iss qader bhi tu asaan nahin ishq tera
yeh zher dil main uter ker hi raas aata hai

main tuj ko pa k bhi khoya hua sa rehta hoon
kabhi kabhi tu mujay tu ne theek samja hai

mujay khaber he k kiya he judainyon ka aazab
k main nain shakh se gul ko bechirtay daikha hai

main muskura b para hoon tu kiyon khafa hain ye loog
k phool tooti tooti hoi kaber pe bhi khilta he

ussay ganwa k main zinda hoon iss tarha mohsin
k jaisay taiz hawa main charagh jalta hai
Is Shab k Muqadar Main Sehr Hi Nahi Mohsin







Daikha Hai kai Baar charaghon Ko Bujha Ker
charagh Bujhtey Chaley Ja rhey Hain silsilawar....






main khud ko Dekh rha hoon Fasana Hotey hue