Main Ikswin sadi main jana
chaun ya na jana
chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,
chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main
chalun ya na
chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye
chalta hai aur
chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti
chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.