Mein so
chta hoon ku
ch uss se kahon
koi baat mohabat, ulfat ki
koi baat sunehrey khwaboun ki
koi baat ke jis k harf harf se
be-naam si khushbu poothi ho
phir so
chta hon kya hasil hai
gar uss ko sab ku
ch keh bhi diya
ye lafz be-kaar jayengey
mai so
chta hoon aik geet likoon
unn komal pyare hathon par
uss phoolon waley aan
chal par
jisey audh ke wo ek pari lage
kabhi so
chta hoon koi nazam kahoon
bas jis main uss ki baatain hon
un gehri gehri aankhon par
jin aankhuon main kai sadiyon k
kai qissay hain, afsanay hain
phir aksar yun bhi so
chta hoon
main ku
ch na kahoon ye behtar hai
har zakhm
chupa kar seenay main
bas dukh hii sahoon ye behtar hai
jab unko aitbaar nahi hai
jahan lafz yaqeen se khali hon
wahan
chup hii rahon ye behter hai.