Shabnami Sitaron

Shabnami Sitaron
Shabnami Sitaron Per,
Phoool Khilne Lagte Hain
Chaand Muskurate Hai
Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kaat Di Lekin
Bachpan Nahi Jata
Hum Diye Jalate Hain
Ab Bhi Teri Aahat Per

Ghantiyan Si Bajti Hain
Raqs Hone Lagta Hai
Dard jagmagate Hain
Ab Bhi Teri Aahat Per


Tere Hijr Me Hum Per
Ek Azaab Taari Hai
Chonk Chonk Jate Hain
Ab Bhi Teri Aahat Pe

Teri Yaad Aaye Tou
Neend Jane Lagti Hai
Chaand Muskurata Hai
Ab Bhi teri ahat Pe

Ab Bhi Teri Aahat Pe
Aas Laut Aati Hai
Ashq Hum Bhi Bahate
Ab Bhi Teri Aahat Per
  

Jun, 04 2010     536 chars (4 sms)     2175 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ek Samundar hai k mere muqbil hai,
Ek Qatra hai k sambhala nahin Jaata.
Ek umr hai k guzarni hai tere bagair
Ek lamha hai k Guzara nahin Jaata...!!
nhi sajde kiye hum ne kabhi ghairon ki chokat pe..

hamen jitni zarorat ho KHUDA se maang lete hain..
Un ki chahat me hum zamana bhool gaye,


Un k baad kisi ko apnana bhool gaye,


Unse muhabat hay bataya sare zamane ko,


Bas yehi ek baat unhen batana bhool gaye,
"Abhi Hasna Sikha Hi Tha,

Ki Rulane Wale Bhi Aa Gaye"

"Duniya Walo Ki Mohabbat To Dekho,

Abhi Hum Thik Se Mare Bhi Nahi

Or Jalane Wale Bhi Aa Gaye....."
Har pal kisi ke ane ki umeed to rehti thi


Aye khuda mujhe phir se wohi tanhai de


Na de chahe koi khushi bas itna karam kar


mera gam mere chehrepe na dikhai de.
Janey Kese Jeete Hyn Log
Yaado''n K Saharey "Mohsin"

Main Tou Kai Baar Marta
Hoon , Ek Yaad Aane Par !!
Sath Chalny ko Chalay Thy Dost Dushman sb ''faraz''

meri manzil Tak ka Saathi Sirf mera Saya Nikla.
Kabi chahton mein chupa liya
Kabi Nafraton mein jala diya
kabi huns k hum ko mana liya
Kabi Ansoun mein baha diya
Yea zindagi b ajeeb hai
kabi khushboo ban ker Bikher gai
Kabi Lumha bher mein guzer gai
kabi Jugnu ban ker Chamak uthi
Kabi Mil k Phir say bichar gai
Tu Ne Wafa Ki Khaas Koi Guftugu Na Ki

Aur Maine Bhi Dil Ki Baat Tere Rubaroo Na Ki

Tu Bhi Tamam Umar Dhoondta Raha Mujhe

Maine Bhi Tere Baad Koi Justuju Na Ki
Kitni mushkil se kati kal ki raat na poocho,
Dil se nikli hui honton may dabi baat na poocho,
Wo kis ada se mere samnay se guzra abhi,
Kis tarah mainay sanbhalay jazbaat na pooocho,
Is tarah pal main mujhay begana kar diya usnay,
Kis tarah khaai hai mainay maat na poocho,
Ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahin,
Kitni mushkil se bani thi dil Ki kaayenaat na poocho.../
Masjid Ki Safon Say Kabhi Maqtal Ki Taraf Dekh,,

Touheed Tujhe "HUSSAIN" (A.S) K Sajday Say Milay Gi..

("Allama IQBAL")
Ye mohabbat k haadsay aksar dilon ko toar dete hain,

tum manzil ki baat karte ho log rahon pe chor dete hain.