kabhi kabhi kuch sun ne ko dil karta hai
kabhi kabhi kuch samjhne ko dil karta hai
jeene nahi deti ye waqt ki dheemi raftar
har waqt aapse milne ko dil karta hai
Ek chahat, ek armaan, ek aas ho tum
Baaton mein meri chhipa ek ehsaas ho tum
Jismein hai bheegne ki khwaish woh barsaat ho tum
Dil mein basa hai jo, roz jo dekhti hun main, woh khwaab ho tum...
kalyee mein soya kangan
shor machayae khankhan,
paoun ki payal barson se
ghumsum gumsum,
nach uthi rumjhum rumjhum.
labon pe tha hayah ka talaa
nutkhat aisa mere kaan ka bala....
bol gaya!
chipa ke rakha piya jee se raaz......
woh khol gaya !
piyar tou hai sajan jee
pur kehtae kehtae
Dil hamara dol gaya ........
ae khuda agar teri kalam mein dum hai to ye farmaan likh de,
har gum door ho mere dost ka,
har khushi uske naam likh de,
us khushi ko dene ke liye agar kisi ki maut chahiye,
to us maut par mera naam likh de....
BOHAT UDAAS HAI KOI TERE JAANE SE
HOSAKE TO LAUT AANA KISI BAHANE SE
TUU LAKH KHAFA SAHI MAGAR EIK BAAR TOO DEKH
KOI "TOOT" GAYA HAI TERE cHALE JANE SE.