bewafai SMS Messages66 messages

Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi...
Wafa kar lo chahe jitni bewafai hi milegi...
Jitna marzi kisi ko apna bana lo,
Jab ankh khulegi... Tanhai hi milegi !
hamne apni sanso par unka naam likh liya,
nahi jante the ki hamne kuchh galat kiya,
wo pyaar ka vada hamse karke mukar gaye,
khair unki bewafai se kuchh to sabak liya......
Tere husn ki tareef karu to tarana na ban jaye,

Teri bewafai ka zikar karu to fasana na ban jaye.

Mat ker logon mei itna zikr mera,

kahin mera zikr tujhe chedne ka bahana na ban jaye
Ye ulfat - Ye uljhan - Ye kasmkas - Ye diwangi
Jane kyo isi me simat jati hai ek aasiq ki jindgi

Na sukh se ji pate hau- Na chein se mar pate hai
Bhatkate hai yaha waha karte huye apne yaar ki bandgi

Kabhi wafa ki khusiya - Kabhi bewafai ke badal barste hai
Par har dil me chahat ek- Foolo si mahke mere pyar ki jindgi

Har pal mahakna- Sawarna Pal - Pal aahen bharna
Kabhi chand se - Kabhi gulaab se apne yaar ki tulna karna

Kbhi chot khaakar bhi na sambhalna
Khi jaane anjaane me pagal sa bhatkna

Aakhir bachta hai bus pagalpan - Jhalkati hai viraniya
Or har aasiq ke paas bachti hai ,,,,,,,,,,sirf yaden,,
Be-Pardgi ka Aalam
Main kya Bataon

Zehrila Saanp hai ye
Ummat ko das na jaey

Har simt dekh lo ab Uryani, Be_Hayaai

Ghairon se hai muhabbat
Apnon se bewafai

Behnon k Mashghalon se bhai bhi be_khabar hen

Poochhen tou kis tarha Wo
Jab khud idhar udhar hen

Beti bhi LaadLi hai
Parda karay tou kesay

Aangan me apne ghar k
Jee ko bharay to kesay

Ye Aqal hai maghrib ki
or kaam Himaqat k

Lo Ho gaey Numaaya
Aasaar Qayamat k!
wo charagh-e-jaan k jis ki low,,,na kisi toofan se kam hui...

teri bewafai k wasvasay usay chupkay chupkay bhuja gae...!
Haseeno ne haseen banke gunah kya,auro ko to theek humko bhi tabaah kya,pesh kiya jab ghazloN mein unki bewafai ko,auro ne to theek unhone bhi waah waah kiya
Gunah karke saza se darte hain,
Pee ke Zeher dawa se darte hain,
dushmano ke sitam ka khauff nahi humko,
Hum to doston ki bewafai se darte hain.
Hasino ne haseen bankar gunaah kiya,
Auro ko to kya humko bhi tabah kiya.
Pesh kiya jab shayari mein humne unki bewafai ko,
Auro ne to kya unhone bhi wah-wah kiya
mana ki koi sath nahi
tanha hu is waqt

tuti hu par bikhari nahi
na hua hausla hai pastt

sach hai ki dagar kathin hai
aasan nahi safar

na hi koi rahnuma hai
jo bane mera humsafar

achcha hi hua tune mujhe daga de diya

soye hue junoon ko phir se jaga diya

nadaN thi tere ishq main khud ko fanna kiya

ho bhala teri bewafai ka jisne fir humeN zinda kiya

fir se wahi junoon hai

bulandion par hai hausla

tere har gunah ka mai khud karungi faisla!
Gunah karke saza se darte hain,
Pee ke Zeher dawa se darte hain,
dushmano ke sitam ka khauff nahi humko,
Hum to doston ki bewafai se darte hain.
mujhay anjam tak laana tha us benaam rishtay ko...
meri is bewafai ko koi bhy naam de daina
mager anmol jazbon ko kabhi bemol mat krna..
suno kuch bhy smjh laina...magar mat bewafa kehna
mujhay mat bewafa kehna!!!!