bewa SMS Messages316 messages

zindagi k kisi mor per khu ko tanha na samjhna,me tere sath hun apne se juda na samjhna,me tujhse jan se badh kar pyar karta hun,meri is muhabat ko bura na samjhna,tum phulon ki tarah khubsurat ho masoom ho,dekho meri is tareef ko bejaan na samjhna,umar bher tera sath dene ka wada kia he,zindagi ne agar sath na dia to bewafa na samjha,ab b tune mere pyar ko thukraya sanam,ise mera muaddar jan na,apni khata na samajhna..
Aaj phir us bewafa se pyar kyo hai......!
woh wapas aayegi yeh aitbaar kyo hai.....!
Bhoolna to chahte the dilse usey.....!
Phir bhi woh meri yaadon ki haqdaar kyo hai........!
aaj hum unhe bewafaa bata kar aaye hai,
unke khato ko pani mein baha kar aaye hai,
koi nikaal kar padh na le unhe,
isliye pani mein bhi aag laga kar aaye hai
Mera Dil Agey Hi Toota Tha,Chalo Aik Darar Aur Sahi,Zakhmi Tha Jigar Pehley Se Hi,Kuch Khoon Ki Bondain Aur Sahi,Ankh To Thi Pehley Se Namm,Ashqoun Ki Barsaat Aur Sahi,Bohat Baar Girr Kar Sambhla Hoon,Chalo Aaj Aik Thokkar Aur Sahi,Khilona Samjh Kar Sabhne Khaila Hey,To Kia Howa, Aik Khail Aur Sahi,Aey Merey bewafa Dost,Tera Aik Waar Aur Sahi,Loh Aaj Ghum Ke Waseeh Afsaney Main,Meri Aik Tehreer Aur Sahi.
Bhid Mein Tanha Hai, Khudpe Hum Hairan Hai,
bewajah Muskuraye Dil Deewana Mera..
Mitne Lagi Hai Ab Sari Majburiyan,
Ab Tum Bhi Mita Do Dil Se Dil Ki Duriyan...
Mujhko Udaas dekh kar, Zamane ne yeh Saawal kia

Woh kon Hai zalim, Jisne tera yeh haal kia

Maine kaha woh mohabbat hai, jo meri unke sath hai

woh nikli bewafa bus itni si baat hai...
mujhay anjam tak laana tha us benaam rishtay ko...
meri is bewafai ko koi bhy naam de daina
mager anmol jazbon ko kabhi bemol mat krna..
suno kuch bhy smjh laina...magar mat bewafa kehna
mujhay mat bewafa kehna!!!!
mujhay anjam tak laana tha us benaam rishtay ko...
meri is bewafai ko koi bhy naam de daina
mager anmol jazbon ko kabhi bemol mat krna..
suno kuch bhy smjh laina...magar mat bewafa kehna
mujhay mat bewafa kehna!!!!
Mujh say meray chaak-i-guraybaan ka haal pochtay ho
kyun meray dostoun ki bewafai ka aahwaal pochtay ho,

num hoti hoein ankhain labu pay bikhri muskurahath
bikhray baaloun urtti rangat ka ahwal pochtay ho?

mein nay gham k sitaar pay hath rakhay hain
rundhi aawaz k geet ka kya sur-taal pochtay ho

chirrak k namak meray nasoor pay aa dost tum
perham k aser pay hua kya mera haal pochtay ho

qerya qerya bikhrri hain meri ruswaiyoun ki dastaain
jo meray yaar nay chali hai mujh say woh chal pochtay ho

maan khushiyaan sab lay ker tum aa dost
tum "Duaa" say khali hathu ka sawal pochtay ho
Kabhi dil na mera liya hota
Ya wada hi na kiya hota
Dena mujhe jo zakhm tha
Itna gahra to na diya hota

Kiska gunaah kahain isko
kis kambakht se gila hota
hota khuda hi meri taraf
ya sanam na bewafa hota

iska bhi koi hisaab hai
rishta koi to raha hota
Jab ashk hi bahe the to
ye dil bhi bujh gaya hota

"Meri aah sun ke wo bola
GHam-e-zikr kyun kiya hota
dard-e-dil ku''redne se to
behtar tu mar gaya hota"
hadsoon ki duniya mein kon kiss ko rota hai
yaad kar ke dukh apney khoon dil ka hota hai

amad_e_baharan par roye khoob roye hum
dard yoon be thamta hai dard yoon be hota hai

app ki nigahoon mein wo be hogaye mujrum
jin ki begunahi par asmaan be rota hai

khaak mein milein akhir sub riyaztein oss ki
jagney se kya hoga jub naseeb sota hai

naqsh subt hotey hein dil mein bewafai ke
naaz jin pe kartey hein maan jin par hota hai

dil mein kitney tufaan hein purskoon chehra hai
janey wo Sameer apney dukh kahan samota hai!!
bewafai Ki Ye Inteha Ho Gai
Ke Tujhse Juda Hokar Bhi Jeeney Ki Aadat Ho Gai
Tum Laut Ke Aao Gey Hum Say Milney
Roz Dil Ko Behlaney Ki Aadat Ho Gai

Terey Waadey Pe Kya Bharosa Kia Hum Nay
Ke Shab Bhar Tera Intezaar Karney Ki Aadat Ho Gai
Khushi Mein Bhi Hum Kya Muskuratey Ke
Teri Judaai Mein Roney Ki Aadat Ho Gai

Kaaflay Nikal Gaye Humein Chhor Ke
Ke Ab Tu Tanha Safar Ki Aadat Ho Gai
Har Morh Par Mili Ghum Ki Parchaiyaan
Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Ho Gai

Jaantey They Ke Nahi Ho Sakti Kabhi Tum Hamari
Phir Bhi Khuda Se Tujhey Maangney Ki Aadat Ho Gai
Paiman-e-Wafaa Kya Hai Humey Kya Maloom "Sameer"
Ke bewafaaon Se Dil Laganey Ki Aadat Ho Gai...............