bebasi SMS Messages15 messages

Is se pahly k teri
chashm-e-karam maazarat ki nigaah ban jay..
Pyaar Dhal jay mere ashkoon mein aarazoo ek aah ban jay..
Mujh pe aa jay ishq ka ilzaam aur tu begunaah ban jay..
Mien tera shahar chhoor jaoon ga...

Is se pahly k sadagi teri lab-e-Khaamosh ko gila keh day..
Teri majaboriyaan na dekh sake aur dil tujh ko bewafa keh day..
Jany mein beKhudi mein kya poochoon,
jany tu beruKhi say kya keh day
mien tera shahar chhoor jaoon ga...

Is say pahly k tere hontoon say Ghair honoon k jaam Takraien
is se pahale ke zulf k baadal ajanabi bazuoon pe lehrayein
aur teri bebasi k nazary meri aankhoon pe aag barasayein..
Mein tera shahar chhoor jaoon ga..
Kabhi ansu kabhi khushi bechi,
hum garibon ne bebasi bechi,
chand sanse hain kharidne ke liye,
roz marti hui zindgi bechi.
Stane lage mujhe jb mere hi saye,
preshan hoke maine roshni bechi.
Ek hum the jo khud hi bik gaye,
vrna logon ne dosti bechi
Ranj-o-alam..
Dard-o-gham…
Hasrat-o-yaas…
Mun ki piyaas……..
WahshataiN…..tanhaii.yaN
AansuoN ka bahr-e-bekaraN
Bekali-o-bebasi….
Dard-e-dil aur bekasi……
Kitni soghataiN dai gia…..
Mujh ko wo meraa faisla
Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte

Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte

Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai

Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte

Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko

Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte

Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye lekin

Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte

Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab tooooo

Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte
bebasi Jurm hai honsla Jurm hai
Zindgi teri ik ik adah Jurm hai

Aye sanam tere barey kuch sooch ker
Apney barey mai kuch soocha jurm hai

Yaad rakhna tujey mera ik jurm tha
Bhool jana tujey mera doosra jurm hai

Kya sitam hai key tere haseen shahar mai
Har taraf ghoor sey dheikhna jurm hai


bebasi Jurm hai honsla Jurm hai
Zindgi teri ik ik adah Jurm hai
Aaj kiya zikr kisi Ne jo TumHara
Halkey Halkey Say phir Tum YaaD Anay Lagay

Main Purani Baaton kay samander Main DooBney laga
Dil Main Ek Baar phir Tum utarnay lagay

palkoon kay Darwaazey ko BanD kiya main Nay
Aur Ansoo Ban k Tum Aankhoon Say Behnay Lagay

bebasi itni k Mare Haath uth Gay
DoBara ALLAH Say Tumhian Mangnay Lagay

zikr Tumhara sun ker Ek Baar phir
Mare jazBaat Tumhari Tamana kernay lagay

Bana k Tasveer Teri Mare zehn Main
Mare Tootey Armaan Rooney lagay

Paa k TumHian khwaaBoon Main Hum
jaag k phir Tumhian khooney lagay

Waada chahta hoon TakDeer sey Yeh
k BaDal Dey woh jo Honay lagay
Yunhi Fasslon Ko Sajay Rakh.
Yehi Intazar Rehne De.

Mere Zehen-o-Dil K Sakun Per.
Mera Ikhtiyar Rehne De.

Teri Chahto Ka jo Dard Hai.
Ye Sub Khushi Se Qabool Hai.

Meri Chashm-e-Num Ka Guma Na Kar.
''Muje Askh Baar Rehne De.

Teri bebasi Baja Sahi.
Meri Khush Fehmi Bhi Galat Nahi.

Tujhe Har Qadem Per Khushi Mile.
Mujhe So-Gawaar Rehne De.

Meri Guftugu Me Jo Dard Hai.
Wohi Dard Mera Naseeb Hai.

Main bhula Chuka Hon Dard Ko.
Mujhe B-Qaraar Rehne De.
Na khushi hAy FatAh-e- Azeem ki
Na shAkisat Fash ka malal hy.


meri bebasi hAy kamal ki
Na arooj hy Na zawal hy
Dard mein koi mausam pyara nahi hota,

Dil ho pyasa to pani se guzara nahi hota,

Dekhe zara koi bebasi humari,

Hum uske ho jate hain jo humara nhi hota.
Toot Ker Zara Dekhoo
Tum agar Bikher Jao
bebasi Mein Ghir Jao
Dil Se Ik Sada Dena
Bas Mujhe Bhula Dena
Mein Tumhein Sanbhal Longa
Zindagi Mein Chalne Ka
Rasta Badalny Ka
Ek Hunar Sikha Doonga
Tumko Hosla Donga
Aur Jab Tum Sanbhal Jao
Roshni Mein Dhal Jao
Mujhko Youn Sila Dena
Tum Mujhe Bhula Dena...
Kabhi aansoo kabhi Khushi dekhi
humne majboori aur bekasi dekhi

Chand lamhaat jeene ke liye
bechke apni zindagi dekhi

Andhere agar ghir aaye ho
tere pehloo mai raushni dekhi

Teri naraazgi ko kya samjhein
humne khud apni bebasi dekhi
Aaj Phir Aapki Yaad Ayee Barish Dekh Kar Main Reh Na Sakii Apni bebasi Dekh Kar

Royee Apki Yaad Main Itna K Baish Bhi Tham Gaye Meri Barish Dekh Kar