ashk SMS Messages114 messages

Kitni nayab thi khamosh chahat uski,

Aaj woh pass nahi hay tu hai hasrat us ki,

ashk giry hein aankhon say tu lagta hay,

Dil mein jaisay utar ayee hai surat uski.
Abhi tum dil Ko rehne do Abhi chup chap sehne do ..Mohabat ab nahi ho gi . abhi ashkoo k eendhan main tumharey khab jalte han .. mohabbat ab nahi ho gi ye kuch din baad mein ho gi ... jab ye din guzer jayen ge ye unn ki yaad main ho gi ...mohabbat ab nahi ho gi
abhi tu ishq mai aisa bhi hal hona hay
k ashk rokna tum say muhal huna hay


har aikh lab pay hain mere wafa k afsanay
teray sitam ko abhi la-zwal hona hay


yaja ka khara hain lakin bahar ki rut main
yah tay hay ab k hamain bhi nihal hona hay


tumhain khabar hi nahin tum tu lout jaou gay
tumharay hijar mai lamha bhi saal huna hay


hamari rooh pay jab bhi azab utrain gay
tumhari yad ko iss dil ki dhal huna hay


kabhi tu roay ga woh kisi ki bahon main
kabhi tu us ki hansi ko zawal huna hay


milain gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushian
bas yah intazar hay kab yah kamal huna hay


har aik shakhs chlay ga hamri rahoon per
muhabbaton mai hamain woh bay misal hona hay
Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhain ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhain ,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhain,
Woh Hum Se Baat Nahi Kartey , Tu Na Karey ,
Haal Sara Unkey Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhain,
Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhain,
Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein , Basa Deti Hain Aankhain,
Mana Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Key Rastey ,
Magar Kabhi Kabhar , Neend , Ura Deti Hain Aankhain,
Eesha Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat Humain,
Dard -O-Gham , Sarey Dil Key , Chupa Deti Hain Aankhain
Dua Ki Sorat Mai teri Khatr,

Jo Mere Honto Se Lfz Nkly,

Jo Meri Ankho Se ashk Nkly,

Unhi K Bdly Mai Ay KUDHAYA

Jb B us Ka Naseb Lkhna"UROJ" Lkhna,

kmal Lkhna,

Kbi Na Hrf-e-ZWAL Lkhna.
Sochta Huun k Usay bhi Neend Aati Ho gi
Ya Meri Terha Faqat ashk Bahati Ho ti
Wo Meri Shakal Mera Naam bhoolne Waali
Apni Tasweer se ki aaankh milati ho gi
Is Zameen Per bhi hai Sailab Mere ashko''n Se
Mere Matam Ki Sada Arsh Hilati Ho gi
Shaam Hote Hi Chaukhat pe Jala Ker Shamae''n
Apni Palkon Pe Kai Khuwab Sajati ho gi
Us ne Silwa Bhi Liye Honge Siyah Rung k Libaas
Ab Moharram Ki Terha Eid Manati ho gi
Hoti Hogi Mere Bosay Ki talab Main Pagal
Jab Zulfoon Main Koi Phool Sajati Ho gi
MEre Tareek Zamano Se Nikalne Waali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati ho gi
Dil Ki Masoom Ragain Khud hi Sulagti Hongi
Junhi Tasweer Ka Kona wo Jalati Ho gi
Roop De Ker Mujhe Us main Kisi Sehzaade ka
Apne Bachon Ko Kahani Wo Sunaati Ho gi
apane haathon se yun chehare ko chhupaate kyon ho
mujh se sharmaate ho to saamane aate kyon ho
tum kabhii meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-vafaa
pyaar karate ho to phir pyaar chhupaate kyon ho
ashk aankhon me merii dekh ke rote kyon ho
dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho
in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum
mere shaanon se ye zulf haTaate kyon ho
roz mar mar ke mujhe jiine ko kahate kyon ho
milane aate ho to phir lauT ke jaate kyon ho
waqt ki aanch main pather bhi pigel jaty hain
qeh qehhy loat ker ashkon main badel jaty hain
koun kerta hai yaad kisi ko umer bher
waqt kay sath insan bhi badel jaty hain
Aaj ke daur mein aye dost yeh manzar kyun hai
Zakhm har ser pe har haath mein patthar kyun hai


Jab haqeeqat hai ke har zarrey mein Tu rehta hai
Phir zameen par kahin masjid kahin mandir kyun hai


Apna anjaam to maalum hai sab ko phir bhi
Apni nazaron mein har insaan sikandar kyun hai


Zindagi jeeney ke qaabil hi nahin abb zakhmi
Werna har aankh mein ashkon ka samandar kyun hai
Dil ki Batain bata deti hain Aankhein
Dhadkanon ko Jaga deti hain, Aankhein

Dil pe chalta nahi Jadoo Chehron ka kabhi
Dil ko tu Deewana bana deti hain Aankhein

Woh hum se baat nahi karti tu na kare
Haal sara un ke dil ka Suna deti hain Aankhein

Gham sada rehta nahi Aadmi ke saath
ashk bana kar Chalka deti hain Aankhein

Aata hai jab dor - e - Jawani , tu aye Dosto
Sunder Sapne Zehan main Basa deti hain Aankhein

Mana ke Neend aati hai Aankhon hi ke raste
Magar kabhi kabar Neend uda deti hain Aankhein
Kash mein ek shaayar hota,
kaash yeh dil ki baat kehpaata,

Labon tak aake ek baat ruk gayeethi,
zindgiki yeh daastan waheen tham gayeethi,

kaash who mere dilke ashk sun pateee,
kaash mein ek shayar hota.
jahan phoolo ko khilna tha wahin khilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
koi aakar humein pooche tumhein kaise bhulaya hai
tumhare khat ko ashkoN se shab-e-ghum mein jalaya hai
hazaron zakhm aise hain agar silte to acha tha
tumhi ko hum ne chaha tha tumhi milte to acha tha
tumhein jitna bhulaya hai tumhari yaad aai hai
bahar-e-noh jo ai hai wohi khusboo hi lai hai
tumhare lab meri khaatir agar hilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
jahan phoolo ko khilna tha wahin khilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha