arzoo SMS Messages58 messages

Tujhay kia khabar teri yaad
Nay humein kaisay kaisay sata dia
Kabhi khalwaton mein hansa dia
Kabhi mehfilon mein rula dia
Teray ishq mein kabhi yun huwa
K namaz apni qaza hui
teri aarzoo ne kabhi mujhe meray pak rab se mila dia
arzoo yeh nahi k gham ka tofan tal jay
Fiqar tu yeh hay k tumhara dil na badal jay
Kabhi bhi mujh ko agar bhulana chaho tum
Tu dard itna dena k mera dum nikal jay
yaadyn tere khuloos ki dasti hyn aaj bhi
milnay ki aarzoo may tarasti hyn aaj bhi
ankhyn hazar zabt ki koshish k baawajood
ruk ruk k baar baar barasti hyn aaj bhi!!!
wo ajnabi tha to roza milta tha arzoo

use apna hone ka ehsas dilaya to milna hi chor dia,
Ye zindagi tere saath ho,

Ye arzoo din raat ho,

Main tere sang sang chalon,

Tu har safar mein mere sath ho,

Main kanton par bhi chal paron,

Tere pyar ki jab barsat ho,

Kabhi sham dhalay jab hum milain,

Na din dhalay na raat ho,

YE ZINDAGI TERE SATH HO... !
khuwab k phoolo ki tabeere kahani ho gayen khoon thanda pr gya ankhen purani ho gayen Jis ka chehra tha chamkte mousamo ki Aarzoo uski tasweren bhi aur aankhe khizani ho gayen dil bhr aaya kagaz khali ki surat dekh kar Jinko likhna tha wo sub batain zubani ho gayen Jo muqadar tha usay to rokna bus me na tha unka kya karte Jo batain na gahani ho gayen Reh gya dil me rang yaad e raftagan phool mehnge ho gaye qabrain purani ho gayen . . .
Ajnabi si rahoon ka,
Ajnabi musafir aik,
Mujh se pooch betha hai
rasta bata do gay?
Ajnabi si rahoon ke ajnabi musafir sun
Rasta koi b ho,
Wasta koi b ho
Manzilain nahi miltein
Manzilain to dhoka hain,
Manzilain ager mill jaien,
To
Justajoo nahi rehti
Zindagi ko jenay ki arzooo nahi rehti.
Jo khayal thay na qayas thay wohi log hum se bichar gay
Meri zindagi ki jo aas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein manta he nahi yeh dil wohi log hain mere humsafar
Mujhay har tarah say jo raas thay wohi log hum se bichar gay
Mujhay lamha bhar ki rafaqaton k azab or sataen gay
Jo meri umar bhar ki payas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh khayal saray hain arazi yeh gulab saray hain kaghazi
Gul-e-arzoo ki jo baas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein kar saka na qabool mein wohi shareek-e-rah-e-safar huway
Jo meri talab meri aas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh raat din meray sath hain wohi ajnabi k ajnabi
Who jo dharkano ki assas thay wohi log hum se bichar gay
Kya sarokaar ab kisi se mujhe
Waasta tha to tha tujhi se mujhe

Behisi ka bhi ab nahin ehsaas
Kya hua teri berukhi se mujhe

Maut ki aarzoo bhi kar dekhun
Kya ummeedein thi zindagi se mujhe

Tera gham bhi na ho to kya jeena
Kuch tasalli hai dard hi se mujhe

Kar gaye kis qadar tabaah Zia''
Dushman andaaz e dosti se mujhe...
jiski aarzoo thi wo dilbar na mila,
barso jiska intezar kiya wo pal na mila,
ab sochte hai kya ajeeb khel ye pyar ka,
kisi ko hum na mile aur koi hume na mil
kabhi khud bhi merai paas aa
meri baat sun mera sath de
jo khalish hai dil sai nikaal ker
mujhai uljhanon sai nijaat de
tujhai sochna mera mashghala
tujhai dekhna meri aarzoo
mujhai din dai apnai khayal k
mujhai apnai qurb ki raat de
main akela bhatkon kahan kahan
ye safer bauhat taweel hai
meri zindagi merai saath chal
merai hath main apna hath de!!
Utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua
Naseeb hon khushiyan tumhain
tum khush raho sada
Tum ko rahat milay ,
tum ko chahat milay
Tumhain saray jahan ki muhabbat milay
Jahan main sab se hon achay tumharay naseeb
Koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb tumharay
Dil ki har aarzooo poori Khuda karay
Tumhain chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay
Mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyaan
Dua hay bad tum ko kabhi gham na milay yahan ...