ankho SMS Messages712 messages

Na Chand Na Tare
Bas Dekhe To Aapki Aankhen
In Aankhon Mein Doob Jaana Hai
Aur Pyar Ki Lehron Ko Paar Kar Jaana Hai!
Dekho Meri ankhon Mein Khwab Kiske Hain
Dekho Mere Dil Me Toofan Kiske Hain
Tum Kehte Ho Mere Dil Ke Raaste Se Koi Nahi Gaya
To Phir Ye Pairon Ke Nishaan Kiske Hain
ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya
Kiya Baat Kahon Un ankhoon Ke
Jin ankhoon Pey Main Marta Hoon
Woh Ankhain Jheel Se Ankhain Hain
Jin Main Doob Key Rooz Ubharta Hoon
Mujhey Dekhney Key Liye Uthte Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhukte Hain
Sarey Jahan Main Aise Ankhain Nahi
Jin ankhoon Pey Main Marta Hoon
In ankhoon Main Koi Ansoo Na Aye Koi
Kabhi Koi Gham Na Pass Aye Koi
Sada Muskurate Rahain Yeh Ankhain
Har Dam Yeh DUA Main Karta Hoon
Kiya Baat Hai Un ankhoon Ke
Jin ankhoon Pey Main Marta Hoon
Tere Pyaar Bhari Aankhon Mein Aansoo Achche Nahin Lagte
Chaahe Jitnaa Bhi Roye But Kabhi Sachche Nahin Lagte
Aaj Barsoon K Bad Dekhaa Hai
Ab Bhi Aankhon Ka Rang Gehra Hai
Aur Chehre Ki Sanwali Si Lakeer
Dil Main Kitne Diye Jalaati Hai
Teri Qaamat K Saye Ki Khushboo
Guftugoo Main Bahaar Kaa Mosum
Be Sabab Aitbar Ka Mousum
Kion Mujhe Sare Dhang Yad Rahe
Kitni Heraan Ho Gai Khud Per
Main Tujhe Aaaj Tuk Nahin Bhooli
Pichle Mosum Ki Yaad Baqi Hai
ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna

Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna

Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna
Samandar Mein Otar Ta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Teri Aankhon Ko Parta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Tera Naam Likhne Ki Ijazat Cheen Gai Hai Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Na Jane Ho Gaya Hoon Is Qadar Hasas Main Kab Se
Kisi Se Baat KartaHoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Hazaroon Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par
Lekin Jab Bhi HanstaHoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Tamanaon Ke Bahlaave Mein Aksar Aa Hi Jaate Hain
Kabhi Ham Chot Khaate Hain Kabhi Ham Muskurate Hain
Ham Aksar Doston Ki Be-Vafaaii Sah To Lete Hain
Magar Ham Jantey Hain Dil Hamaare Toot Jaate Hain
Kisi Ke Sath Jab Bite Hue Lamhon Ki Yaad Aai
Thaki Aankhon Mein Ashkon Ke Sitaare Jhil-Milate Hain
Aankhon Main Jal Raha Hai Kio Bujhta Nahi Dhuhaan
Uthta To Hai Ghata Sa Barasta Nahi Dhuhaan

Aankhon K Ponchne Se Laga Aanch Ka Pata
Yun Chehra Peher Lene Se Chuhpta Nahi Duhaan

Aankhon Se Aanso’on K Marasim Poorane Hain
Mehmaan Yeh Ghar Main Aayen To Chubhta Nahin Duhaan
ankhon Mein Namee, Hansi Labon Par
Kya Haal Hai, Kya Dikhaa Rahay Hoo
Ban Jaayenge Zaher Peete Peete
Yeh Asshq Joo Peete Ja Rah
Ashq ankhoon Main Meri Dekh Kay Rotay Kiyon Ho
Dil Bar Aata Hai To Pher Mujh Ko Rolatay Kiyon Ho