ajnabi SMS Messages90 messages

ajnabi duniya me Akela khwab hu mei!
Sawalo se ghira ek jawab hu mei!
Jo na samajh sake Unke lie KOUN?
Jo samajhe Unke lie ek kitaab hu mei
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai


Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Meri rooh mujh se bichar jane ko hai...
Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai...
Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha...
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai...


Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..


Sokoon dil barbaad ho jane ko hai...
Raapte socho ke simat jane ko hai...
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha...
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai...


Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai...


Qurbato ke nisha mit jane ko hai...
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai...
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke...
Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai...
Kisi na kisipe aitbar ho jata hai,
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,

Khubiyo se nhi hoti mohabat hamesha,
Khamiyo se b aksar pyarho jata hai
ajnabi duniya me Akela khwab hu mei!
Sawalo se ghira ek jawab hu mei!
Jo na samajh sake Unke lie KOUN?
Jo samajhe Unke lie ek kitaab hu mei!
Passenger-Tumne Mere Jeb Me Hath Kyu Dala?

Santa-Muje Machis Chahiye Thi.

Pasen-Tum Mujhse Mang Sakte The.

Santa-Me ajnabi Se Bat Nhi Karta.
ajnabi bastiyo''n k safar pay ja rahay ho...


To yaad rakhna...!


Jahaa''n bhi raho...


Kachi pakki barsaato''n may....


Dil ka khayaal rakhna....!!
wo ajnabi tha to roza milta tha arzoo

use apna hone ka ehsas dilaya to milna hi chor dia,
ajnabi Ban K Koi Aaya Tha,
Aisa Laga Vo Mera Saaya Tha,
Log Karte Hai Roshni Ghar Me,
Usne To Dil Me Diya Jalaya Tha
ajnabi si rahoon ka,
ajnabi musafir aik,
Mujh se pooch betha hai
rasta bata do gay?
ajnabi si rahoon ke ajnabi musafir sun
Rasta koi b ho,
Wasta koi b ho
Manzilain nahi miltein
Manzilain to dhoka hain,
Manzilain ager mill jaien,
To
Justajoo nahi rehti
Zindagi ko jenay ki arzooo nahi rehti.
Wo Day Raha Hai Dilasay To Umar Bhar K Mujhay,
Bichar Na Jaye Kahin Phir Udaas Kar K Mujhay,


Jahan Na Tu Na Teri Yaad K Qadam Hongay,
Dara Rahay Hain Wohi Marhalay Safar K Mujhay,


Hawa-E-Dasht Mujhay Ab To ajnabi Na Samajh,
K Ab To Bhool Gaye Raastay Bhi Ghar K Mujhay,


Dil Tabah Teray Gham Ko Taalnay K Liye,
Suna Raha Hai Fasanay Idhar Udhar K Mujhay,


Qaba Zakham Badan Par Saja K Nikla Hoon,
Wo Ab Mila Bhi To Dekhay Ga Aankh Bhar K Mujhay,


Kuch Is Liye Bhi Main ussay Bichar Gaya "Umer"..
Wo Door Door Say Dekhay Theher Theher K Mujhay...
Jo khayal thay na qayas thay wohi log hum se bichar gay
Meri zindagi ki jo aas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein manta he nahi yeh dil wohi log hain mere humsafar
Mujhay har tarah say jo raas thay wohi log hum se bichar gay
Mujhay lamha bhar ki rafaqaton k azab or sataen gay
Jo meri umar bhar ki payas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh khayal saray hain arazi yeh gulab saray hain kaghazi
Gul-e-arzoo ki jo baas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein kar saka na qabool mein wohi shareek-e-rah-e-safar huway
Jo meri talab meri aas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh raat din meray sath hain wohi ajnabi k ajnabi
Who jo dharkano ki assas thay wohi log hum se bichar gay
Beykali beykhudi beybasi deygaya
Kuch naye tajrubey ajnabi deygaya

Us ki saudagari main bhi insaaf tha
Zindagi deygaya zindagi leygaya

Us key aajaney say har kami mitgai
jatey jatey wo apni kami deygaya

Sochney key liye pal ki mouhlat na di
Jaagney key liye ek sadi deygaya

Leygaya jism sey jaan-o- Dil kheinch ker
Haan magar rooh ki taazgi deyga