abbas SMS Messages36 messages

Khazanay ki jo zeenat ho usay ALMAAS kehtay hain
Tamana pani ki hoti hay toe PYAAS kehtay hain
Jahan peety jain sub pani usy kehtay hain sub darya
Jo darya ko pilata hoo usay abbas (A.S) kehtay hain!

Dard-e-alam ka markaz-e-ehsaas bangaee
bay aas kafeley ke liye aas bangaee

din dhal gaya tu sham-e-ghareeba''n ke saath hi
Beti Ali ki Hazrat-e-abbas bangaee
Mangnay walon k dil ko ye yaqeen hai abbas(a.s).
" NA " karna tera dastoor nahi hai abbas(a.s).
Aa rahi hai Daro deewaar say Khushbo-e-Wafa.
Aisa lag raha hai is waqt yaheen hain abbas(a.s).
Mola abbas(A.S)ka Banda Hun
Ghunah Ghaar Bhi Hun
Doozakh Me Naa Jaaaoo Ga
Khata Kaar Bhi Hun
Ager Kheench Ker Lay Bhi Gaye 10 20 Malaaiek!
Aag Ro Ro Ker Bhujaa Dunga
Azaadaar Bhi Hun
Tareekh me duniyaTareekh me duniya ki wahid yehi manzar hy
Hansta huwa bacha hy roota huwa lashkar hy
Kya jang karun me insay abbas e Jarii boley
In shaam ki foojon pe bhari maira Asghar hy
Be Khouf Hoo Rahe Hai Azadari-e-HUSSAIN
Dil Koo Sukoon Hai K ALAMDAR Sath Hai
Sadiyon Se Ek Pal Koo Yeh Panja Na Jhuk Saka
abbas Tere Hath Pe ZEHRA Ka Hath Hai
WafA jIS kA Parha Kalma, Use abbas Kehte Hein

Jo Hai Shabbir Ki Quwat, Ali Ko Naaz Hai Jispar

Jise Zahra Kahain Beta, Use abbas Kehte Hain
Hai azme Khalili sinoan me, sholoan me phool khila denge
Hathoan me nihan hai zoore Ali, Khaiber ka saman dikhla denge
abbas-e-dilawar ke waris, har ek ki pyas bhuja denge
Ye nasl wa mulk wa rango watan, ki sab diware gira denge

Is waqat fiza-e-alam me, bas ek Alam lehraega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega
Momin ki har sada ko taira intezar hay
eman ki baqa ko taira intezar hy
phr sajda e hussain ki hayat hay deen ko
aa ja ka la ilha ko taira intezar hy
parda hata k daikh mairey daur k hussain
haan aab bhi karbala ko taira intezar hy
Baichain zulfiqar hy beetab murtajis
abbas e bawafa ko taira intezar hy
Tu hi suna sakay ga sahi maqtal e hussain
Har majlis e azza ko taira intezar hy
Percham-e- Hazrt-e-abbas Uthay Rukh Na
Shor-e-Matam Sy Zamany Ko Jagay Rukhna
Gham-e-Shabbir Ibadat Hy Koi Rasm Nahi
Apni Naslon ko Azadaar Banay Rukhna
Seenay me jo abbas k kadmo ki dhamak hy
Heabat in dhamak ki sir e aarsh talak hy
Yeh keh k guzarta hy garajta huwa badal
Bijli mairey abbas k lehjay ki karak hy
Gulzar e shujat ki dil awaiz kali hy
jano dil e hyder hy wali ibne wali hy
Shabbir muhammad hyn agar waqt k apney
abbas e jari apney zamaney ka Ali hy