Teri SMS Messages1016 messages

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi
Le Gaya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-O-Qarar
Be-Qaraari Tujhe Ae Dil Kabhi Aisi To Na Thi.
Apne Aap Mein Simte Rehna Acha Lagta Hai
Chup Chaap Kuch na Kehna Acha Lagta Hai
Ham Nahi Kabil Teri Chahat K
Phir B Teri Chahat Mein Rehna Acha Lagta Hai
Hum TO Tere Dil KI Mehfil Sajane Aaye The
Teri Qasam Tujhe APna banane aaye the
Kis Bata ki saza di tu ne hum ko
bewafa ham TO tere dard ko aapnane aaye the
Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaye ga

Itna manoos na ho hilwat-e-ghum sey apni
Tu kabhi khud ko bhi dheikhey ga tu dar jaye ga

Tum sar-e-rah-e-wafa dheikhtye reh jao gey
Or wo baagh-e-rafaqat sey uttar jaye ga

Zindgi Teri atta hai tu ye jaaney wala
Teri bukhshish ko Teri dehleez per rakh jaye ga

Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga
Bandh raka hai Teri yaad ney Mazi sey muje. Warna guzrey hue lamhat mey kia raka hai. Tu na mil pahe thu aur Khuda sey mangoon. Tu alagh go tho meri zaath mey kia raka hai.
bicher ker juda tou nahi ho gaye hum
kahin be-wafa tou nahi ho gaye hum

jo milna bhi chahain tou ab mil na payein
youn be-aitnaa tou nahi ho gaye hum

magar phir bhi khilqat hamain poojti hai
agarcha khuda tou nahi ho gaye hum

kharay hain azal se sag-e-reh ki surat
kahin rehnuma tou nahi ho gaye hum

Teri yaad aati hai fursat mein aksar
tere mubtila tou nahi ho gaye hum
Tumharay saath rehna hai
Mujhe har waar sehna hai

Mujhe ashkoon ki surat main
Teri ankoon say behna hai

Tumharay hussan par janan!
Udasi bhi tu gehna hai

Yehi tu Juram hai apna
kay hum nay pyar pehna hai

Chalo ab bey rukhi choro
Humain aik saath rehna hai

Hay mera katam afsana!
Tumhin kuch aur kehna hai?
Ae Dost Tera Haseen Naam Acha Lagta Hai

Teri Nisbat Se Ye Chaand Acha Lagta Hai

Log Kehte Hyn Teri Dosti Main Pagal Mujh Ko

Aur Mujhe Ye Ilzaam Acha Lagta Hai
Ab k Kerna Tou Kisi Aise Se Chahat Kerna

K Jis Ko Aata Nahi Ho Shikwa Shikayat Kerna

Teri Kam-Goi K Charchey Thay Zamane Bhar main

Kis Se Seekha Hai Tum Ne ye Baato''n ki Wazahat Kerna

Pehle Khusbhu K Mizajo''n Ko Parakh Lo Nadaan

Phir Gulestaan main Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
Tere labon se hai rangat phoolon mein, Teri aankhon se hai chamak sitaaron mein, Tu jo muskuraake dekhle aasmaan ko, Chaand bhi sharmaake jhuk jaaye tere kadmon mein,
Itna aasaan nahin mujhko bhulaana tujhko
ek shiddat hai kasak hai ya koi wahshat hai
kuch mareeze dile jaanan ko bhi chan aa jaata
jhooth hi bol magar bol ki ye ulfat hai
Log kahte hain khudaya kya muhobbat hai
mujhko maloom hai Teri to yahi aadat hai
khush rahe ya udaas rahe
zindagi tere aas pas rahe
chand in baadlio se niklega
koi aaye ga dil ko aas rahe
hum muhabat ke phool hai shayad
koi kanta bhi aas pass rahe
mere seene me is tarah bas ja
meri sanson me Teri khushbu rahe
aaj hum sab ke saath bahut hase
aur phir deir tak udaas rahe